Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad
meray liye kuch post nahikya ![]()
Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad
meray liye kuch post nahikya ![]()
Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad
woho very colorful shair ![]()
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
maiN teri dhuN maiN rawa'N tha mujhay pata na chala
gubar-r-rah maiN shamil gham-e-zamana tha
maiN us ko hashar maiN kis naam se sada daita
k mera us ka taa'ruf tu gaa'yabana tha
ajza kashish thei samandar ki sabz aa'nkhoN maiN
har aik chashma usi ki taraf rawana tha
*wohi nahi tu waraq kis k leay see'aah kariaN
skhuN tu arz-e-tamana k aik bahana tha *
samnd-e-shooq tha amjad rawaN dhawa'N jab taak
qadam k neechay sitaa'rooN ka shaamayana tha
Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad
aww sho shweet
thank you ![]()
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
woh malal to koi aur tha
woh char su jo khula woh jamal to koi aur tha
meray khwab jis mai ulajh gaye woh khyal koi aur tha
yaha kis hisab ko jortay
meray subha sham bikhar gaye
jo azal ki subha kya gya woh sawal to koi aur tha
jisay tera jaan kay rakh liya woh malal to koi aur tha!
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
nice sharings.........here is one of my favr8........waisey meri bahot si favr8 already yahan post ho chuki hain........i m just little bit late..........!
Ji meiN hey aaj ki shab us ke leeye jaag ke kaati jaey,
wo jo aaNkhoN sey parey
ajnabi deis ki gum'naam hawaaoN meiN kaheeN betthi hey,
kya mohabbat ke leeye ye bhi zaroori hey ke meiN
us ke chehrey ko khad-o-khaal meiN la kar deikhooN,
sach to ye hey ke mujhey yaad nahi, us ki jabeeN kesi thi?
hont kesey they, badan kesa tha, aaNkheiN kya theen!
Bas yehi yaad hey wo jesi nazar aati thi
us sey kaheeN achi thi
....
yuN to har raat merey dil pe giraaN kat'ti hey
phir bhi aey bhooley huwey, tu hi bataa
gham ki zanjeer bhala
jaagney, sochtey rehney sey kahaaN kat'ti hey!
ye jo aahat si abhi nikhat-e-gul ki tarhaN pheli hey
terey qadmoN ki sadaa lagti hey
...
paaNchveeN saal'gira aaj judaai ki manaaoN shab bhar
shaam-e-furqat ki tarhaN, ashq bahaaoN shab bhar
...
teri rukhsat ka samaaN, dhiyaan meiN laaoN shab bhar
tu jo roti hui aaNkhoN sey parey
ajnabi deis ki gum'naam hawaaoN meiN kaheeN betthi hey
By: Amjad Islam Amjad
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
raah-rooN ki Ankhoon main
munzilain na jub tuk hon qaaflay nahi chaltay
ik zara tawajuh say dekheye to khulta hay
loog in per chaltay hain rastay nahi chaltay
soochnay samjhnay say, sath sath chalnay say
Dooriyan smit-tee hain faslay nahi chaltay
Khuwab khuwab ankhoon main rut jugay nahi chaltay
Derguzar kay halqay main maslay nahi chaltay **
**Dol DilooN ki qurbat main Teesra nahi chalta
*Waastay nahi chaltay *
Bakht sath chalta hay, Taaley Aazmaoon k
Waqt raam kernay main , tajziyoon kay Daao kia?
Tujrubay nahi chaltay
Ishq kay ilaaqay main hukm-e-yaar chalta hay
Zaabtay nahi chaltay
Hussan ki aadalat main aajzee to chalte hay **
**Martabay nahi chaltay
Dostee kay rastooN ki perwerish Zaroore hay
ChahtooN ki mitti ko AarzooN kay pooday ko
Seenchna bhi perta hay
Ranjishoon ki baatooN ko bhoolna bhi perta hay
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
Precious^Khan, you have one of the most-loved and posted ghazal of AIA. Nice image as well. Thanx for the sharing :)
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
**Kon si cheez dil kay bus main nahi
Dil magar apni dastaras main nahi
kab say aankhain talashti hain ussay
Ek din jo kisi baras main nahi
Daikh li jantari zamanay ki
Wasl ka din kisi baras main nahi
Nara-sayee ki dhund kay uss par
eshq main kia hay, ju hawas main nahi
**
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
Wow really nice sharing of Amjad Islam Amjad's collection...
bohot Maza aya kafi kuch naya bhi parhnay ko mila or bohot si apni favr8 bhi parheen.
thanks
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
sham'ma ghazal ki luo ban jaye, aisa misra'a ho to kaho
ek ek hurf main soch ki khushbu, dil ka ujala ho to kaho
raaz-e-muhabbat kehne wale loag to lakhon milte hain
raaz-e-muhabbat rakhne wala hum sa dekha ho to kaho
kon gawahi de ga uth ker jhooton ki is basti main
sach ki qeemat de sakne ka tum main yaara ho to kaho
waise to har shakhs k dil main aik kahani hoti hai
hijar ka lawa, gham ka saleeqa, dard ka lehja ho to kaho
AMJAD saheb aap ne bhi to duniya ghoom k dekhi hai
aisi aankhein hain to batao aisa chehra ho to kaho
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
Kehney ko mera us sey koi waasta nahi
Amjad magar wo shakhs mujhey bhoolta nahi
darta hooN aaNkh kholooN to manzar badal na jaey
<O:pmeiN jaag to raha hooN magar jaagta nahi
aashuftagi sey us ki usey bewafa na jaan
aadat ki baat aur hey dil ka bura nahi
tanha udaas chaand ko samjho na bekhabar
<O:phar baat sun raha hey magar bolta nahi
<O:p
khamosh ratjagoN ka dhuwaaN tha chahaar su
nikla kab aaftaab, mujhey to pata nahi
<O:pAmjad wo aaNkheiN jheel si gehri to heiN magar
<O:pun meiN koi bhi aks merey naam ka nahi
<O:pBy: AIA<O:p
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
nice one gil-e-tea :)
Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad
LOL@ gul-e-tea ![]()