Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

One of my favourite :)

**
Merey jism-o-jaan kay har ik raabtey se muatabar
merey hum-safar
tujhey yaad hay, tujhey yaad hay
woh jo qurbattoN kay suroor maiN
teri aarzoo kay hisaar maiN
meri khuahishoN kay wafoor maiN
kaii zaiqay thay ghulay howey
dar-i-gulistaN se bahaar tak
woh jo raastey thay khiley howey
sar-e-looh-e jaaN
kisi ajnabi si zabaan kay
woh jo khushnuma se haroof thay
woh jo sarkashi ka ghubaar tha chaar soo
jahaN aik dojay kay ro-baroo
humaiN apni roohoN maiN phailti
kisi naghmagi ki khabar mili
kisi roshni ki nazar mili

humeiN roshni ki nazar mili
tou jo raiza raiza se akss thay
woh baham howey
woh baham howey tou pata chala
keh jo aag si hay sharar-fashaN meri khaak maiN
issi aag ka koi an-bujha sa nishaaN hay teri khaak maiN
issi khaak-daan maiN woh khauab hay jissey shakal deney kay waastey
ye jo shaash jo haat ka khail hay woh rawaaN howa
issi roshni se makaan bana, ussi roshni se zamaaN howa
ye jo har gumaaN ka yaqeen hay
woh jo har yaqeen ka gumaan tha
issi daantaan ka biyaan tha

merey hum-safar
kisi dhiyaan ki kisi taaq per
hay dhara howa
woh jo ik rishta-e-dard tha
merey naam ka terey naam se
teri subah ka meri shaam se
sar-e-raah-e-guzar hay paRa howa wohi khuab-e-jaaN
jissey apni aankhoN se dekh lainey kay wastey
kaii laakh taaroN ki seeRiyooN se uter kay aate thee kehkashaN
sar-e-aasmaaN!
ksii abar parey ki oout se
usse chaand takta tha raat bhar

mere hum-safar
ussi ghum-e-rakht ko samaiTtey
ussi khuaab-e-jaaN ko sambhaltey
merey raastey kaii raastoN maiN ulajh gaye
woh chitaagh jo mere saath saath thay, bujh gaye
woh jo manzileiN
kisi aur manzil-e-bay-nishaN kay ghubaar-e-raah main kho gayeeN
kaii vasvasoN kay fishaar maiN shab-e-intizaar si ho gayeeN
woh tanaab-e-dil jo ukhaR gaye
woh khayam-e-jaaN jo ujaR gaye
woh safeer thay ussi daastan-e-hayaat kay
jo warq warq thee bhari howi

mere shooq se terey roop se
kaheen chaa'on se kaheen dhoop se
merey hum-safar tujhey kya khabar
ye jo waqt hay kisi dhoop chaa'on kay khail sa
usse dekhtey, usse jhailtey
meri aankh gard se att gayi
merey khuaab rait maiN kho gaye
merey haath barf se ho gaye

merey hum-safar
merey bay-khabar terey naam per
woh jo phool khiltey thay hoonT per
woh jo deep jaltey thay baam per
woh nahiN rahey
woh nahiN rahey keh jo ik rabt tha darmiyaaN
woh bikher gaya
kisi shaam aisi hawa chali
keh jo barg thay sar-e-shaakh-e-jaaN
woh gir gaye
woh jo harf darJ thay rait per
woh uRR gaye
woh jo raastoN kay yaqeen thay
woh jo manziloN kay ameen thay
woh nishaan-e-pa bhi miTT gaye

merey hum-safar
hay wohi safar
magar aik mooR kay farq se
terey haath se merey haath tak
woh jo haath bhar ka tha faasla
kaii musumoN maiN badal gaya
usse naaptey, usse kaaTtey
mera saara waqt nikal gaya
tu mere safar ka shareek hay
meiN terey safar ka shareek hooN
par jo darmiyan se nikal gaya
ussi faasley kay shumaar maiN
ussi bay-yaqeen se ghubaar maiN
ussi raah-e-guzar kay hisaar maiN
tera raasta koi aur hay
mera raasta koi aur hay

~Amjad Islam Amjad~
**

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

^ Viv my fav one meri himat nahi ho rahi thi likhnay ki because kafi long hey, shukar hey aap nay Copy paste kar di :p

Is say pehlay ke ye Saawan kii jharri tham jaaey
itney iqraar ke alfaaz haiN keh do mujh say
bhiigtay peyr heiN, meiN hoon, tum ho
<O:pis barastey huwey baadal ki tarhaan
lafz agar murr ke bhi naa aey to kya
Bheegtey peyrr kisey jaa ke gawaahi dein gey
By: AIA<O:p</O:p

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Sitaaray Tuut kar kahaaN jaatay haiN
Falak kii Shaakh say jharrtay huway ye atlasii pattay
zameeN kii simt Aatay haiN tou in kii Aakhri saansaiN
damakti aur chamakti Roshnii kii
LehroN kii shakaL chaltii haiN
bazaahir aesaa Lagta hay, wahaaN
bastii ke Uss jaanib kisi jungle kii wuss‘at meiN
kisii parbat ke seenay par
giraa hogaa kahiiN malbaa
Ussi khush-rang taaray kaa
jo ab say saaneya bhar qabal roshan thaa
chamakta tha, damakta tha, falak par jagmagata tha
magar ab uss ke honay ki nishaani tak nahiN milti
Nazar haeraan hotii hay
ke jo kondaa saa lapka thaa
Ussay ab kis tarhaaN dhundaiN, kahaaN dhundaiN
khalaa andar khalaa ik khaamashi hay aur dehshat hay
nazar kay waahimay haiN ya gumaaN haiN
kuch nahiN khultaa
sitaarey Tuut kar kahaaN jaatey haiN
Kuch nahiN khulta!

By: AIA

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

KhaboN ki deikh bhaal meiN aankheiN ujjar gaiiN
tanhaaiyoN ki dhoop ney chehrey jalaa diye
lafzoN ke jorrney meiN ibaarat bikhar chali
aaeeney dhoondney meiN kai aks kho gaey
aaey naa phir laot ke, ik baar jo gaey

Har raahguzar meiN bheerr thi logoN ki is qadar
ik ajnabi sey shaks ke maanoos khad-o-khaal
haathoN sey gir ke tootey huwey aaeena misaal
jesey tamaam chehroN meiN taqseem ho gaey
ik kehkashaaN meiN laakh sitaarey samo gaey

Wo din, wo rut, wo waqt, wo mosam wo sarkhushi
ey gardish-e-hayaat, ey raftaar-e-maah-o-saal
kya jamaa is zameeN pe nahi hoN gey phir kabhi
jo hamsafar firaaq ki daldal meiN kho gaey
pattey jo girr ke perr sey rastoN ke ho gaey

Kya phir kabhi naa laot ke aaey gi wo bahaar!
kya phir kabhi naa aaNkh meiN utrey gi wo dhanak
jis ke wafoor-e-rang sey chalki hui hawaa
karti hey aaj tak
ik zulf meiN sajey huwey phooloN ka intizaar

Lamhey zamaan-e-hijr ke pheley kuch is tarhaaN
reyge-e-rawaan-dasht ki tamsaal ho gaey
is dasht-e-pur-sraab meiN bhatkey heiN is qadar
naqsh-e-qadam they jitney bhi, paamaal ho gaey
ab to kaheeN khatm ho rastaa gumaan ka
sheeshey meiN dil ke saarey yaqeeN, baal ho gaey
jis waaqeeye ney aaNkh sey cheeni thi meri neend
us waaqeeye ko ab to kai saal ho gaey

By: AIA

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

My most favourite poem from AIA :slight_smile:

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

copy paste nahi kiya khud type kiya hay ma’am =)

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Muhabbat
Muhabbat kee tabbiyat maiN yeh kaisa bachpana Qudrat nay rakha hai
Keh jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
Isay taaed e taaza kee zaroorat phir bhi rehti hai
Yaqeen kee Aakhri hadooN tak diloN maiN lehlahati ho!
NigaahoN say Tapakti ho, lahoo maiN jagmagati ho!
HazaaroN taraH kay dil kash, haseeN haalay banati ho!
Isay izhaar kay lafzoN kee Haajit phir bhi rehti hai
Muhabbat maangti hai yuN gawahi apnay honay kee
Keh jaisay tifl e saada shaam ko eik beej boye
Aur shab main baarha uThay
ZameeN ko khod ker dekhay keh poda ab kahaN tak hai
Muhabbat kee tabbiyat main ajab takrar kee KHo hai
Keh yeh iQrar kay lafzoN ko sunnay say nahee thakti
biCHaRnay kee GHaRi ho ya milnay kee sa'at
Isay bas eik hee dhun hai
Kaho' Mujh say muhabbat hai
Kaho' Mujh say muhabbat hai
TumhaiN mujh say muhabbat hai
Samandar say kaheeN gehri, sitaaroN say siwa roshan
PiyaroN kee tarah Qayam, HawaaoN kee tarah Dayam
ZameeN say AasmaaN tak jis Qadar aCHay manazir haiN
Muhabbat kay kinaaye haiN, wafa kay Isteaaray haiN, hamary haiN
Hamaray wastay yeh CHandni raataiN sanwarti haiN, sunhera din nikalta hai
Muhabbat jis taraf jaye zamana saath chalta hai
Kuch aisee bay sukooni hai wafa kee sarzameenoN maiN
Jo ehl e muhabbat ko sada bay chain rakhti hai
Keh jaisay phool maiN khushboo keh jaisay haath maiN para, keh jaisay shaam ka tara
Muhabbat kernay waaloN kee sehar raatoN maiN rehti hai
GumaaN kay saakhchoN maiN AashyaN banta hai ulfat ka
Yeh ain wasal main bhi hijr kay KHadSHoN main rehti hai
Muhabbat kay musaafir jab zindagi kaat chutay haiN
Thakan kee kirchiyaaN chuntay, wafa kee AjrakaiN pehnay
Samay kee rah guzar kee Aakhri sarhad pay ruktay haiN
Tu koi TooTti saansoN kee Dori thaam ker
Dheeray say kehta hai
Yeh such hai na....!
Hamari zindagi eik doosray kay naam likhi thee!
Dhundhalka sa jo AankhoN kay Qareeb o door phaila hai
Isi ka naam CHahat hai
TumhaiN mujh say muhabbat thee
TumhaiN mujh say muhabbat hai

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Ye jo raig-e-dasht-e-firaq hai
ye jo raig-e-dasht-e-firaq hai ye rukay agar
ye rukay agar to nisha-n milay ye nisha-n milay...
kay fasilo ki saleeb
ye gari huwi hai kaha kaha!
meray asman say kidhar gaye teray ilftifaat ki kehkisha-N
meray bekhabar meray benisha'n
ye rukay agar to pata chlay

mai tha kis nagar tu raha kaha!
kay zama'n maka'an ki ye wus'atain
tujhay dekhnay ko taras gaye
woh meray naseeb ki barishaiN kisi aur cha'at par baras gaye
meray char-su hai gubar-e-jaan woh fusha-r-jaan
kay khabar nahi meray hath ko meray hath ki
meray khwab say teray baam tak
teri rahguzar ka to zikar kya
nahi zufishan tera naam tak!
hain dhuwa'n dhuwa'n meray ishtakhwa
meray ansoo-n mai bujhay huway meray ishtakhwa
meray naqsh gar mery naqsh jaan

is raig-e-dasht-e-firaq mai rahay muntazir...teray muntazir
meray khwab jin kay fishar mai
rahi meray haal say bekhabar
teri rahguzar
teri rahguzar kay jo naqsh hai meray hath par
magar is bala ki hai tergi
kay khabar nai mery hath ko meray hath ki

woh jo chashm-e-shubda saaz thi
meray ishtakhwa mai ho roshni
isi ek lamha deed mai teri rahguzar
meri tera jaan mai chamak uthay
meray khwab say teray baam tak
sabhi manzaro mai dhamak uthay
isi ek pal mai ho jawida'n
meri arzoo hai kay bekara'n
meri zindagi hai mukhtasir
jo raig-e-dasht-e-firaq hai ye rukay agar..........!

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

nice one chando g one of ma fav :)

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

***
wo jo aik khawab se raat thei
meRay bakhat maiN
yunhi aik pal maiN guzaR gaa'ee
wo guzaR gaa'ee tu pata chala
kham-o-paich gaRdish-e-waqat maiN
wohi aik kaam ki cheez thei
meRi zindghani k rakht maiN***

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

aww jano simply beautiful :slight_smile:

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

4 chand_chehra :p


koi chand chehra kusha huwa
wo jo dhuund thei wo bikhaR gaa'ee
wo jo habus tha hawa huwa

koi chand chehRa kusha huwa
tu simat gaa'ee
wo jo teeRghi thei chahaR soo
wo jo baRaf thehRi thei robaRoo
wo jo be-dili thei sadaf sadaf
wo jo khaak uRti thei haR taRaf

magaR ik nigha se jal uthay
wo chiRag-e-jaaN they bujhay huwey
maGar ik skhun se mahak uthay
meRay gulistaa'N meray aa'enay
kisi khush nazaR k hisaaR maiN
kisi khush qadam k jawar maiN
koi chand-chehRA kusha huwa
meRa saRa baagh hara huwa

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

thx chand g main wait kar rahi thi k meri fvrt koi post nhi kar raha:) aap ney kar di thankooo vely much....!

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

:teary1: :confused: koi mujhey bataye ga plzzzzzzzzzzz k meri file attach q nhi hoti? kaisey karunnnnnnnnnnnnn

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

beautiful thanks for sharing :slight_smile:

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

very nice :k:

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

-----------------:flower1::love::flower2:------------------ **Us ney aahista sey jab pukaara mujhey jhuk ke takney laga har sitaara mujhey** -----------------:flower2::love::flower1:------------------

AIA

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Rooh ko CHootay huay ek nazaray jaisa
Tha ek SHaKHs yahan Subh kay taaray jaisa

Fikr thee sub say juda, KHuaab anokhay uskay
Phir bhi lagta tha behr rung hamaray jaisa

Phailtee jaati hai saray main wahee Baang e dira
Goonj maiN jis kee hua sail, kinaray jaisa

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

Ahann!!! :rolleyes: