zindagii ke mele me.n
Khvaahisho.n ke rele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa
is qadar jhamele me.n
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai
saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar me.n
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai
baat go zaraa sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baate.n kab
do gha.Dii me.n hotii hai.n
dard ke samandar me.n
anginat jaziire.n hai.n
beshumaar motii hai.n
aa.Nkh ke dariiche me.n
tum ne jo sajaayaa thaa
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat me.n
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiilo.n par
TuuT TuuT jaataa hai
zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste me.n kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baato.n me.n
guftaguu izaafii hai
pyaar karane vaalo.n ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaao
ek din akele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa.N
is qadar jhamele me.n
Tuloo-e-shams-e-mafariqat
purani kirneiN naey makanoN ke aganoN meiN laraz rahi heiN
faseel-e-shehar-e-wafa ke rozan
chamaktey zarroN se bhar gaye heiN
chamaktey zarrey...
gaye dinoN ki aziz bateiN
nigar subheiN, gulab rateiN
bisat-e-dil bhi ajeeb shey hay
hazar jeeteiN, hazar mateiN
judaiyon ki hawaeiN lamhon ki khushk mitti ura rahi heiN
gayee rutooN ka malal kab tak
chalo ke shakheiN to toot'ti hi heiN
chalo ke qabroon pe khoon rooney sey
apni aankheiN hi phoot'ti heiN
ye mor wo hey jahaaN sey merey tumharey rastey badal gaye heiN
purani rahon ko lotna bhi hamari muqaddar mein nahi
ke rastey bhi hamarey qadmon ke saath agey nikal gaye heiN
tuloo-e-shams-e-mafariqat hey
tum apni aankhoN meiN jhilmilatey huwey sitarooN ko maot dey do
gayi rutooN ke tamam pholon, tamaam kharooN ko maot dey do
naye safar ko hayat bakhsho
ke pichli raahon pe sabt jitney naqoosh-e-pa heiN
wo baar hongey
hawa uraye ke tum urao...!!!
a'ey mita-hey-nazar
mera hona teri zaat se is tarha se munslik hai
k jesay kisi seep ki aa'bro us k gohar se hai
jesay percha'eiN ka rabt paiker se hai
jis tarha rang-e-may jaam o sagar se hai
maiN agar bolta hooN tu teray skhun ki anaa'et hai ye
maiN agar dekhta hooN tu teri nigha ki karamat hai ye
maiN agar chup hooN tu teri mohabat hia ye
maiN samandar nahi
jo kinarooN se nikloN tu aabadioN maiN qayamat machay
maiN muqadar nahi
jo badalta rahy bin kahay bin sunay
maiN nahi tashna lub jo saraboon ki ahat pe chalta rahooN
maiN baghola nahi jo hawa k isharay pe urta phirooN
maiN teray shahar k sangdil rastooN ka staya huwa
ik musafir hooN jis ki girha maiN faqat aarzo hai
nigahooN maiN tu hia
aii tamana 'ey jaa'N
wapsi k leay koi rasta nahi milta----tu b nahi milta
hooN mubarak tujhay teri kam-goyaa'N_____tuj ko dhoondhooN kahaN!
meray ahsaas-e-jaa'N ki namoo tuj se hia
maiN agar seep hooN aa'bro tuj se hia
phool hooN maiN agar rang-oboo tuj se hia
aur agar jisam hooN tu lahoo tuj se hai
***na waada hai koi tum se ,koi rishta nibhanaY ka
na koi aur he dil maiN taheya ya irada hai
kaa'ee din se magar dil maiN
ajab uljhan se rahti hia!
na tum is dastaa'N k saRsari kirdaaR ho koi
na qisa itna saada hai!
taa'ulaq jo maiN samja tha kahiN is se zayada hai!!***
bay khiyaal haathouN say
un-bannay say lafzouN par
ungliyaaN ghummaatay haiN
yaa sawaal naamay ko
dekhtay hee jaatay haiN!
hur taraf kan-ankhiyouN say
bucch buccha kay taktay haiN
doosrouN kay purchouN ko
rehnumma samajhtay haiN
shaayad iss tarah koie,
raasta hee mil jaaey!
bay nishaaN jawaabouN kaa
kuch pata hee chull jaey!
mujh ko dekhtay haiN tau
youn jawaab copy par,
haashiyeh lagatay haiN
daaeray banaatay haiN
jaisay unn ko purchay kay
subb jawaab aatay haiN
iss tarah kay manzar maiN
Imtehaan gaahouN maiN,
dekhtaa hee rehtaa hooN
naqal karnay waalouN kay
nit naaey tareeqouN say
Aap lutf laita thaa,
dostouN say kehtaa thaa
kiss tarah say jaanay yeh
Aaj dil kay aangan maiN
ik khiyaal aayaa hay
sekRouN sawaalouN saa
ik sawaal laayaa hay
Waqt kee adaalat maiN
zindagi kee soorat maiN
yeh jo teray haathouN maiN, **
**aik sawaalnaama hay
kiss nay yeh banaayaa hay?
Kiss liyeh banaayaa hay?
kuch samajh maiN aayaa hay?
** zindagi kay purcchay kay
subb sawaal laazim haiN, *
*subb sawaal mushkil haiN!
bay nigh aankhouN say *
*dekhtaa hooN purcchay ko
bay khiyaal haathouN say
*
un-bannay say lafzouN par
uNgliyaaN ghumaataa hooN
Haashiyeh lagaataa hooN
daairay banaataa hooN,
*guzertay lamho! mujhe batao zindage ka asool kia hai
tamaam hathon main aayne hain to kon kis se chupa hua hai
ager sada ka wajood kanon se munsalik hai
to kon khushbo main bolta hai
ager samander ki hud hai sahil
to kon ankhon main phailta hai
tamam cheezain ager yeh hi hain
to kon cheezon se mavraa hai
kise khabar badalti rut ne puraane paton se kia kiya hai
yeh kon badal se ja ke pooche ke itne mosam kahan raha hai
jo aaj dekha hai kal na ho ga
koi bhi lumha atal na ho ga
guzertay lumhoo! mujhe batao zindage ka asool kia hai *
**
(Amjad Islaam Amjad )
**