Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

very very nice :k:
thanks for sharing :slight_smile:

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Amjas islam amajad one of my fav poets
very nice sharing you people out there :)

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

haan na tea gili hoti na :smiley:

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

^ konsi Brand?:bummer:

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

^Lipton ki Yellow label :smooth:

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad


hud say tawaqaat ziyda kiye huway
bethay hain dil mai ek irada kiye huway

is dasht-e-bewafaye mai jaye kaha kay hum
hain apnay ap say koi wada kiye huway

dekho to kitnay chain say kis darja mutmaeen
bethay hain arz-e-pak ko adha kiye huway

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

a'ey mita-hey-nazar mera hona teri zaat se is tarha se munslik hai k jesay kisi seep ki aa'bro us k gohar se hai jesay percha'eiN ka rabt paiker se hai jis tarha rang-e-may jaam o sagar se hai maiN agar bolta hooN tu teray skhun ki anaa'et hai ye maiN agar dekhta hooN tu teri nigha ki karamat hai ye maiN agar chup hooN tu teri mohabat hia ye maiN samandar nahi jo kinarooN se nikloN tu aabadioN maiN qayamat machay maiN muqadar nahi jo badalta rahy bin kahay bin sunay maiN nahi tashna lub jo saraboon ki ahat pe chalta rahooN maiN baghola nahi jo hawa k isharay pe urta phirooN maiN teray shahar k sangdil rastooN ka staya huwa ik musafir hooN jis ki girha maiN faqat aarzo hai nigahooN maiN tu hia aii tamana 'ey jaa'N wapsi k leay koi rasta nahi milta----tu b nahi milta hooN mubarak tujhay teri kam-goyaa'N_____tuj ko dhoondhooN kahaN! meray ahsaas-e-jaa'N ki namoo tuj se hia maiN agar seep hooN aa'bro tuj se hia phool hooN maiN agar rang-oboo tuj se hia aur agar jisam hooN tu lahoo tuj se hai

very very nice.....thnx for sharing

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

*is moosam main jitne phool khilain ge
un main teri yaad ki khushbuu her su rooshan ho gi
pata pata bhoole basre rangoon ki tasweer banata guzre ga
ik yaad jagata guzre ga
is moosam main jitne taare aasmaan pe zahir hoon ge
un main teri yaad ka paikar, manzar manzr uryaan ho ga
teri jhil mil yaad ka chehra roop dikhata guzre ga
is moosam main
dil duniya main jo bhi aahat ho gi
un main teri yaad ka saaya geet ki soorat dhal jaye ga
shabnam se aawaz mila ker kaliyaan us ko doohraaain gi
teri yaad ki sun gun lene chaand mere ghar uutre ga
aankhain phool bichaayin gi
apni yaad ki khushbuu mujh ko daan kero aur apne dil main aane do
yaa meri jhoolii ko bhar do yaaa mujh ko MARR jaane do *

By Amjad Islam Amjad

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Dard ka raasta hay ya hay sa-ate roz e hisaab
Sainkron logon ko roka koi bhi thehra nahi
Shabnami aankhon k jugnoo kanptay honton k phool
Ik lamha tha jo Amjad aaj tak guzra nahi


Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

v nice contribution thanks every one sharing with us :)

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

daRyaa maiN qatRay ki suRat
gum ho jaa'ooN
apnay aap se bahaR niqloN
"tum" ho jaa'ooN

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Agar kabhi meri yaad aaye
Tu chaand ratoon ki dilgeer roshni main
Kissi sitarey ko deekh laina
Agar wo nakhal falak se ur ker tumharey kudmoon main aa gerey tu ye ja laina
Wo istiara tha merey dil ka
Agar na aaye ? _ _ _ _
Magr ye mumkin hi kis tarah hai ke kissi per nigaah dalo
Tu us ke dewaar e jaan na tutey
Wo apni husti na bhool gaye !!
Agar kabhi meri yaad aaye
Gureez kerti hawa ki lehroon pay haath rakhna
Main khusbo’on mein tumhe miloon ga
Mujhe gulaab ki pate’oon main talaash kerna
Main udaas kutra ki aainey main tumhe miloon ga
Agar sitaaroon main, oos khusbo’on main
Na pa’o mujh ko
Tu apney kudmoon main deekh laina
Main gird musafatoon main tumhe miloon ga
Kahin pay roshan charagh dekho tu jaan laina
Ke her patangey ke saath main bhi sulag chukka hoon
Tum apney haathoon se un patangoon ki khaak derya main d’aal dena
Main khaak ban ker samandar main safar karoon ga
Kissi na dekhay howay jazeeray pay ruk ke tumhe sadayein doon ga
Samanduroon ke safar pay niklo
To us jazeeray pay kabhi uterna !!!

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Khawaab bi aake musafir ki tara hotey hain
Chashm darchashm sada iin ko safer mein rehna
Rang ki mooj mein,khusboo ke aser mein rehna
Iin ki aadat hi nahi
Aake jagah per rukna
Iin ki kismat hi nahi
Aake nager mein rehna

Hum bi ek khawaab hain aye jaan,teri aankhon mein
Chund lamhon ko ju thehrein tu hamein
Apni palkon ki amaan mein rakhna
Saya abr e tawaja ke gumaan mein rakhna
Dheyaan ke taak se hum ko na hatana,jub tak
Raat ke baam pe taron ke diye jaltey hain
Dekhna hum ko,hamein dekhtey jana,jub tak
Hum teri aankh ki wadi mein safer kartey rahein
Khawaab ka shook yehi,khawaab ki kismat bi yehi
Halka reghe rawaan,gard e safer mein rehna
Raang ki mooj mein,khusboo ke aser mein rehna

Hum mager khawaab hain kuch aur tara ke,hum ko
Na koi shooke e safer hai na talash e khusboo
Teri aankhon mein jalyein aur uunhi mein bujh jayein
Chashm darchashm nahi hum ko safer mein rehna!
Hum ko hai teri nazer mein rehna!

By: Amjad Islam Amjad

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

nice one maham :)

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

very nice :k:
Thanks for sharing :slight_smile:

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

na shikaayate.n na gilaa kare

ko_ii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baate.n kiyaa kare

kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar ha.Nsaa kare

merii qurbate.n merii chaahate.n
ko_ii yaad kare qadam qadam
mai.n taviil safar me.n huu.N agar
merii vaapasii kii duaa kare

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Thank You Nikami jee & Udhas

Re: Poet of the Month… Amjad Islam Amjad

[Udhas](http://www.paklinks.com/gs/member.php?u=42034) Junior Member

Join Date: Jul 2006
Posts: 14

http://www.paklinks.com/gs/images/misc/journal.gif

na shikaayate.n na gilaa kare

ko_ii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baate.n kiyaa kare

kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar ha.Nsaa kare

merii qurbate.n merii chaahate.n
ko_ii yaad kare qadam qadam
mai.n taviil safar me.n huu.N agar
merii vaapasii kii duaa kare

very nice…thnx for sharing!

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

**Hum log na thay aisay** **Hain jaisay nazar aatay** **Aey waqt gawahi day** **Hum log na thay aisay** **Yeh sheher na tha aisa** **Yeh rog na thay asiay** **Deewar na thay rastey** **Aazar na thay rishtay** **Zandan na thi basti** **Khaljan na thi hasti** **Yun mout na thi sasti** **Yeh aaj jo soorat hay** **Halaat na thay asiay** **Yun ghair na thay mousam** **Din raat na thay aisay** **Tafreeq na thi aisy** **Sanjog na thay aisay** **Aey waqt gawahi day** **Hum log na thay aisay** **"Amjad Islam Amjad"**

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Meri raatein teri yaadon se saji rehti hain
meri saansein teri khusboo se basi rehti hain

meri aankhon mein tera sapna saja rehta hai
haan mere dil mein tera aks basa rehta hai

iis tara mere dil ke bohat paas ho tum
jis tara paas hi she-rag ke Khuda rehta hai

mere aangan mein lageyein phool gawahi deyeinge
maine arsey se kisi phool ko dekha bhi nahi

tujh ko soocha hai tu phir tujh ko hi soocha hai faqt
tere siwa kisi aur ko soocha bhi nahi

By:Amjad I Amjad