Re: need lyrics
Fraudia bhai aap nain logon ko kis kaam pay laga dia hai apnay saath sub ko gunahgar bana rahain hain.
Aap ki is post ki wajah say jitnay log gana sunain gay sub ka gunah aap kay bhi sir jaay ga aur un kay bhi sir jaay ga.
Main nain jaisa kay quran main par'ha hai apnay alfaz main likh rahi hoon.
Jinko aap achchay kaam ka mashwara dain gay aur wo jub tuk achcha kaam karain gay us ka achcha sila aap ko multa rahay ga aur agar buray kam ka mashwara dain gay aur wo jub tuk bura kaam kartay rahain gay us ka gunah unko bhi aur aap ko bhi milaay ga.
Jintnay log gana sunain gay larics kay liaay utna aap ko gunah milay ga is liaay kay aap kay kahnay ki wajah say wo aisa karain gay.
Is kay Ilawa quran main par'ha hai
kaan main pghla huwaa sis dala jaay ga mausiqi waghaira sunnay main, jo sub say ziada garam ho ga.
Bura na maniaay ga aap sub main apna farz ada kar raheen hoon amaal karain gay to bohat achcha ho ga aap kay liaay bhi aur meray liaay bhi. Na karain gay to aap ki marzi
Allah nain quran main kaha hai apnay alfaz main bayan karti hoon
Aur tum nasihat kartay raho jub tuk nasihat kay nasah honay ki ummeed ho.
Main Allah say qawi ummeed rakhti hoon kay Allah zaroor aap logon ko is nasihat pay amal karwaay ga aur samajh day ga Insha Allah.
Quran nain baat ummeed ki ki hai aur na ummidei kufr hai so mujhay hamaysha ummeed rahay gi meray pyaray bhai fraudia aur tamaam bhai bahan meri naheen quran ki in baton pay zaroor amal karain gay Insha Allah.
Hum say bhi aik nain kaha ganon ki cd copy kar do hum nain naheen kar kay dia kai afrad naraz huway per hum nain do din tuk socha kia karain kai logon ko naraz kar dain ya Allah ko akhir jeet Allah ki huwi kay bhar' main jain yay log Allah razi to dunia razi.
So hum nain Allah ki khushi chuni aur sub ko naraz kar kay kah dia hamara computer copy naheen kar raha. Hamain yay bhi kaha gia kay aap ka kia jata hai usko gunah milay ga per nadan nain kabhi uper wali ayat naheen suni hogi kabhi ya bhool gaya hoga kay wo jub tuk sunay ga hamain copy kar kay denay ki wajah say gunah miltta rahay ga.
Quran main hai Apnay alfaaz main bayan karti hoon
Sharab kay shuru say bannay kay amal yani kasheed karnay say lay kar us pilanay aur peenay walay tuk saray involve logon ko same gunah milay ga.
Ub aap logon ko mujh pay aitaraz hoga kay khud bhi sunti ho gi cause its a human nature cause under baitha shaitan bahkata hai.
To Ittalaun arz hai hum bhi pehlay bohat gana suna kartay thay itna kay din bhar tape recorder aur cd player baja karta tha na sirf khud suntay thay balkay mohallay walon ko sunwatay thay wo is tarha kay full volume main lagatay thay is liaay kay ghar kafi bar'a tha to hum jahan bhi jain doosray konay tuk hamain awaz aay.
Laikin jub say suna kay kam main pighla seesa dala jaay ga tub say chor' dia. Jazak Allah Khair.
Gunguna letain hain abhi bhi aksar is liaay kay gungunana mana naheen kioon kay music mana hai gungunanay main music naheen hota.
Jitna yaad hai likh saktay hain kioon kay wo bhi mana naheen us main bhi music naheen hota.
Yaad ati hai ganon ki to zaroor gunganain. Likhna chahtain hain jitna yaad hai zaroor likhain kaheen say copy paste kartain hain zaroor karain per gana na sunain ya gana sun kar lyrics na likha khud ko gunahgar na banain kisi kay kahnay pay.
Allah meri baat main asar day aur mayray ilm main mazeed izafa karay Ameen. Summa Ameen.
Mujhay yaqeen hai aap log zaroor post kar kay meri himayat karain gay aur pehlay qadam meray pyaray say fraudia bhai uthain gay Insha Allah. Mujhay Allah pay qawi ummeed hai kamyabi ki.
Let join the race against music. All muslims are invited.
I know its a tough decision. Cause aur nafs kay under chupa baitha shaitan rastay bohat rokay ga per Jeet hamain Allah ki karani hai na kay shaitan ki ussay to hamain maat dena hai.
Khair Andaish Specially for my Fraudia bhai and all other pyaray pyaray Brother and sister.
Aur Akhrat kay din aap log gawah rehna kay main nain apna farz poora kia.
Please stop talking to Na merhram log. Thought I would advise you, you should not be talking casually to na mehram men, even if you call them brother, because calling them brother does not make them mehram. Please avoid earning gunah and making others gunahgaar.
Jazak Allah khair.
PS: i come from a school of thought that does not believe music is haram
PS2: i guess you come from a school of thought where you can be talking to na mehram men all the time.