khoob!
Ajeeb cheez hay yaroN yeh manzilon kee hawas
K rah-zun bhee mussafir ko rah-numa sa lagaye
khoob!
Ajeeb cheez hay yaroN yeh manzilon kee hawas
K rah-zun bhee mussafir ko rah-numa sa lagaye
thanx show_sha, Aceones! and nazi, + nazi wish u goodluck 4 ur exams
dunya mai har aik cheeze buhut dair say milii
manzil pe puhunchay to hamin rehnuma milay
thx kamal bhai nd nice shair as alwayz...
manzil na de charaaG na de hausalaa to de
hai iKhtiyaar me.n tere to mojazaa kar de
vo shaKhs meraa nahii.n hai use meraa kar de
u welcome
hamin ye duk ke wo aksar kayee mosam nahin milta
magar milnay ka wada hum say wo har bar karta hay
Hasan raton ko jab sub log meethi neend sotay hain
to ek khwab aashna chehra hamain bidar karta hay
Buhat achai jaa rehai hain aap duno Nazi and m Kamal I thought i would keep you going without interepting but had to give it to you :k:
thanx Guest7777 4 liking,
rasta b katan dhoop mai shiddat bee buhut thi
sayee say magar usko muhabbat be buhut thi
barish ke duaawon mai nami aank ke mil jaye
jazbay ke kabi itni rifaqat bee buhut thiiiiiiiiiiiiii
[QUOTE]
*Originally posted by Nazi83: *
buhat khoob...
nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad
[/QUOTE]
chaa gai yaar
bohot aala :-)
my God…this thread is jus amazing… :k:
thanx irem g
us ke mere fasilay Muhsin na pooch
rang say khushbo juda hay awr bas
![]()
u guys once again, i LOVED reading this thread, aap log wakai chaa gayay ho ![]()
thanx irem g, and aagey aagey dekiyee hota hai kia
kabi hum bightay hain chahton ke barish mai
kabi barson nahin miltay kisi halki si ranjish mai
m kamal g, sorry for not replying directly to your earlier post, you are most welcome :) thanks for the wonderful entertainment :)
i would have shared some shairs but unfortunately i dont know any :D
koi baat nahin iram g, shair smajna b aik fun, yeh b bari baat hai aap is say waqif hain, shukria
mujay aksar sitaron say yahi awaz aati hay
kisi ke yaad mai neendain ganwa kar kuch nahin milta
Nice nice Kamal bhai...
sitaaraa apanii bhii taabindagii na dekh sakaa
vo dhundh thii ki ye manzar ko_ii na dekh saka
talaash karate huye u.Ngaliyaa.N jalaa Daalii.n
vo tiiragii thii ki mai.n shama bhii na dekh sakaa
khoob :k:
Neend Ankhon say rui phool say khushbu kee tarhan
dil Bahel jaye ga shub say teray gaisoo kee tarhan
wah G wah..
hum ko halat nay istarha kia tha yakja
jaisay guldan mai do phool galey miltay hain
nice nice...
phuulo.n kii aarazuu me.n ba.De zaKhm khaaye hai.n
lekin chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye hai.n
buhut khoob show_sha and nazi g
taron ki baharon mai b qamar tum afsurda say rehtay ho
pholon ko to deko kanton main hans hans ke guzara kartay hain
DostoN jushn manao k bahaar aaee hay
phool girtay hain her aik shaakhs say ansoo kee tarhan
very nice ss nd kamal bhia...combine ur shairs nd here is da answer ...
kaa.NTo.n kii chubhan pa_ii phuulo.n kaa mazaa bhii
dil dard ke mausam me.n royaa bhii ha.Nsaa bhii
aane kaa sabab yaad na jaane kii Khabar hai
vo dil me.n rahaa aur use to.D gayaa bhii