nazar uta ke jo deka to phool thi wo nigah
nazar juka ke jo deka to zakhm gehra tha
Wah nice ...
nazar me.n Dhal ke ubharate hai.n dil ke afasane
ye aur baat hai duniyaa nazar na pahachane
zabar10
tumhain danista mehfal mein jo deka ho to mujrim hoon
nazar aakhir nazar hay be irada utt gaye hogi
buhat khoob...
nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad
wah g....
nazar say qatl kar dalo na ho takleef dono ko
tumhain khanjar utane ke mujay gardan jukane ke
good going nazii and m-kamaal :k:
thanx heart hacker
thx HH..
nd wah G nice shair
Khamosh ho kyo.n daad-e-jafaa kyuu.N nahii.n dete
bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete
Rakhna hay tashna kaam toa saqi buss aik nazar
sairaab ker na day meri tishna labee mujhay
nice SS..
saaqiiyaa chho.D na khaalii mere paimaane ko
itanii hii de de ke ho jaaaye qasam khaane ko
wah wah
daman churda ke aap ko jana he tha agar
nazrain uta ke piar se deka tha kis liyeeee
very nice:flower2: ![]()
shukria
wah nice nice.......
khoye hue the der se vo merii yaad me.n
mujh par nazar pa.Dii to Khafaa ho ke rah gaye
wah....
ab twajjo ka taqaza b nahin kar saktay
dil ki qimat to faqat aik nazar hoti hay
w@h.....
milii jab unase nazar bas rahaa thaa ek jahaa.N
haTii nigaah to chaaro.n taraf the viiraane
a1
main ke qismat ke lakerain b parha karta tha
koi aaya he nazar hath dikaney kab say
jan crhaktay tay kabikhod say ghazalan jis par
bhol baitay hain shikary wo nishaney kab say
wah nice one...
merii nazare.n bhii aise qaatilo.n kaa jaan-o-imaa.N hai
nigaahe.n milate hii jo jaan aur imaan lete hai.n
bohot achcha....
us ko deka ek nazar jis sham pehli martaba
dil mera darhka us sham pehli martabaaaa
ban nahin sakta mera wo, jab pata muj ko chala
dil nay kia barpa bohut kohram pehli martaba
khoob...
Khud apanaa faisalaa bhii ishq me.n kafii nahii.n hotaa
use bhii kaise kar guzare.n jo dil me.n Thaan lete hai.n