nazar

g show_sha, ye aik sheir khalis aap keliye

hum to samjay thay ke hoga koi chota sa zakham
tere dil main to buhut kam rafo ka nikla

[QUOTE]
*Originally posted by m kamal: *
g show_sha, ye aik sheir khalis aap keliye

hum to samjay thay ke hoga koi chota sa zakham
tere dil main to buhut kam rafo ka nikla
[/QUOTE]

abhee say meray maseeha kay haath thaknay lagay
abhee to chaak meray zakhm k silay bhee nahee

buhut khoob show_sha g

rasta b katan dhoop main shiddat b buhut thi
sayee say magar usko muhabbat b buhut thi
pholon ka bikarna to muqaddar he tha likin
kuch is main hawawoon ki siasat b buhut thi

wahhh.....

Hum haiN doHree aZZy-att K giriftaar musafir
k PaaOn bhee Shull HaiN aur shouq-e-safar bhee nahee jata

wah g

sukoone dil jisay kehtay hain milti hay muqaddar say
libase zindagi kuch kam nahin kantoo key chadar say

bari pur'sakooN thei ye zindgi naya dard kis ne jaga dee'ya
kisi be-nayaaz nigha ne meri wahshatooN ko barha dee'ya

Very Nice :wave:

zra si baat pe daman chrha lia to nay
tamam umer ki wabastagi ko bhool gayee

Ba- hamy rubt may runjish bhee maza daytee hay
sirf muhabbat hee muhabbat ho zaroori toa nahi

buhut achcha

suna hay sangdil ke aank say aanso nahin behtay
agar ye such hay to pattar say kion chishmay nikaltay hain

Aansoo tere bhi khushk huwe aur mere bhi
Naam ab kisi nadi ka kinaara nahee raha

very nice

zindagi mai wo marhaley dekey
qurbaton mai b fasley dekey
to nay kuch b kaha magar ham ney
tere aankon ke zawiay dekey

Masoom nazar ,Bhola mukhra, Chahre pe ye shookh Adaa
Tasweer ka Jub ye Aalam hay, wo Husn-e-mujasam kia ho gaa

wah coolpeepa

nazar chura ke guzar jai jis ke b aagey
hum apney dard ka izhar karkay dektay hain

m kamal, nazi83 and show sha: wonderful collection and memory u guys got there :k: thnx a bunch for sharing all this :flower1:

thanks a lot friend for liking, these both realy amazing people, they realy incoureged me very much. because i m junior 1 in this forum

aik sheir un donon kelyee

faqat nigah say hota hay faisala dil ka
na ho nigah me shokhi to dilbari kia hay

good1 :k:

[QUOTE]
*Originally posted by m kamal: *
thanks a lot friend for liking, these both realy amazing people, they realy incoureged me very much. because i m junior 1 in this forum

aik sheir un donon kelyee

faqat nigah say hota hay faisala dil ka
na ho nigah me shokhi to dilbari kia hay
[/QUOTE]

wah nice thx M Kamal ji and showsha and MKamal nice going with those shairs good choice .. and ACeones thx for da appreciation...and i m bak lolz was gone due to da exams so here it goes...

nazar fareb-e-kazaa khaa ga_ii to kyaa hogaa
hayaat maut se Takaraa ga_ii to kyaa hogaa
na_ii sahar ke bahut log mu.ntazir hai.n magar
na-ii sahar bhii kajalaa ga_ii to kyaa hogaa

Charagh-e-toor jalao bada andhera hay
zara niqaab uthao, bada andhera hay

woh jin k hotay hain khursheed aassteenon main
Unhain kaheen say, bulao bada andhera hay

wah...

ab to kuchh aur bhii a.ndheraa hai
ye merii raat kaa saveraa hai
rahazano.n se to bhaag nikalaa thaa
ab mujhe rahabaro.n ne gheraa hai