nice
tu nay deka hay kabi aik nazar sham ke baad
kitnay chup chap say lagtay hain shajar sham ke baad
itnay chup chap keh rastay b rahingay la elm
chorh jayeen gay kisi roz nagar sham ke baad
nice
tu nay deka hay kabi aik nazar sham ke baad
kitnay chup chap say lagtay hain shajar sham ke baad
itnay chup chap keh rastay b rahingay la elm
chorh jayeen gay kisi roz nagar sham ke baad
good going...
shaam-e-Gam kuchh us nigaah-e-naaz kii baate.n karo
beKhudii ba.Dhatii chalii hai raaz kii baate.n karo
nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N, daastaan-e-shaam-e-Gam
subah hone tak isii a.ndaaz kii baate.n karo
ahh
ya rab nigahi naz pe laisanse kion nahin
ye b to qatal karta hay talwar ke tarah
nice...
har rag-e-dil vazd me.n aatii rahe dukhatii rahe
yuu.N hii us ke jaa-o-bejaa naaz kii baate.n karo
nice 1
shabnam ke aik bond thi polon ke kainat
wo b na bach saki hawase aaftab say
nice nice...
shabanam ke aa.Nsuu phuul par ye to vahii qissaa huaa
aa.Nkhe.n merii bhiigii hu_ii.n cheharaa teraa utaraa huaa
zabardast, kia baat hay...
main nay khushbo ki tarah tuj ko kia hay mehsos
dil nay cherha hay teri yad ko shabnam ki tarah
kasay hamdard ho tum ye kaisy masehaye hay
dil pe neshtar be lagatay ho to marham ke tarah
wow nice one !!
ab in dino.n merii Gazal Khushbuu kii ik tasviir hai
har lafz gu.nche kii tarah khil kar teraa cheharaa huaa
ma.ndir gaye masjid gaye piiro.n fakiiro.n se mile
ik us ko paane ke liye kya kyaa kiyaa kyaa kyaa huaa
wah
usay ghanwa ke mai zinda hon is tarah mohsin
ke jaisay taiz hawa mai charagh jalta hay
buhat achey...
havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa
very nice very nice very nice
meri lahad pe patangon ka khon hota hay
huzoor shamma na laya karin jalaney ko
suna hay ghair ke mehfal main tum na jawogay
kaho to aaj sajadon gharib khaney ko
wah ji wah...
huzuur aap kaa bhii ehataraam karataa chaluu.N
idhar se guzaraa thaa sochaa salaam karataa chaluu.N
u.nhe.n ye zid ki mujhe dekh kar kisii ko na dekh
meraa ye shauq ki sab se salaam karataa chaluu.N
[QUOTE]
*Originally posted by Nazi83: *
wah ji wah...
u.nhe.n ye zid ki mujhe dekh kar kisii ko na dekh
meraa ye shauq ki sab se salaam karataa chaluu.N
[/QUOTE]
Unhai-N yeh zid k muhabbat kee bheek may maaNgooN
may hon Atal k taqaza mera asool nahi
wah g
jab tera hukm mila, tark muhabbat kar di
dil magar is pe wo darka ke qiamat kardi
mai to samja ta ke lot aatey hain jane wale
too nay to ja ke judaai meri qismat kar di
sho_sha g good nock with a impressive way
nice ji ...
abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai
tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge
labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao
zabar10
ab nazagh ka aalam hay muj par tum apni muhabbat wapas lo
jab kashti dobnay lagti hay to booj utara kartay hain
nice one..
muddat me.n vo phir taazaa mulaaqaat kaa aalam
Khaamosh adaao.n me.n vo jazbaat kaa aalam
allaah re vo shiddat-e-jazbaat kaa aalam
kuchh kah ke vo bhuulii hu_ii har baat kaa aalam
classical
hal duk de ga to mazi pe nazar jayeegi
zindagi hadisa ban ban ke guzar jayeegi
tum jo ye mashwara-e tarke wafa detey ho
umar ek raat nahin hay jo guzar jayeegi
[QUOTE]
*Originally posted by m kamal: *
classical
tum jo ye mashwara-e tarke wafa detey ho
umar ek raat nahin hay jo guzar jayeegi
[/QUOTE]
Ab toa hamaiN bhee tark-e-taalluq ka dukh nahi
per dil yeh chahta hay k aaghaz too karey........