muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

^ Aapnay Ghar Ghar kee Kahanee jho hamsay cheen lee! Humnay is movie kayee baras pahlay dekhi thee. Balraj Sahani, Nirupa Roy. Usme jo guest ayay huway hai, they brought a 100 rupee note. So wherever they went, they would show that note - no chutta. So Balraj Sahani the host had pay everything, starting with money to taxi driver to the day the guests left the ghar.

So in our household, Ghar Ghar kee Kahani is code word for anyone who does not pay their way through and lets the pther pick up the tab!

So now you have a new Muhawara - Ghar Ghar ki Kahani

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Bhagvan/Khuda karay koi bhi Ghar se Beghar na ho jayein

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Taali aik haath se nahi bajti :)

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

i still cant make it unless i read the actuall text.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye


waah...kia ghar ghar kii kahaanii hai...zabardast Balraj Sahni :) ab "ghar ghar kii kahaanii" aapkii huii :D


t**o bhai, taalaa bhii ek haath se nahiiN khultaa...vaise, mere gaaoN meN ek saaHab the jo 'ek haath se taali' bajaa lete the....ba_Khuda!

meri jaanib se:


ghar basnaa*...koi meraa ghar bhi basaa deve ;)
*
ghar aangan**** = aurat kii kul kaayenaat [uskaa ghar baar]
*ghar kaa aadmii* = raazdaar
*ghar bharnaa *= daulat ghaseeTnaa
*ghar se be-ghar* karnaa = to evict someone from his/her house...***Khaana Kharaab karnaa :(*

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

ghar-jawai (jamai) pr bhi koi misra hy?

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Misra** JI Khud haiN ghar jaNwaaiiN :wink: :cb:**

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

next word :rule:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

are bhai, abhii 100’s moHaavaraat baaqii haiN…zaraa aur likheN abhii :slight_smile:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Uper wala haath neechay waly haath se behtar hy.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Aapkripaya post 82 gaur say padiyega - ghar say beghar kee ka istemaal ho chuka! Waisay, appakay other muhawrah badhiya hai. Ek haath say taali bajanay walay neh hamara dil khush kar diya.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Ghar basana
Ghar ayay mehmaan

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

ghar ka bhaidi lanka dhay

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Uper wala haath neechay waly haath se behtar hy, Kiyunke ooper wala hath dene wala aur neeche wala haath lene wala hota hai. Its a famous Hadees we used to listen before PTV Khabarnama.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

what’s that mean???last alphabet :confused:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

maro ghutna phoote aankh :D

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

and most of us it in daily routine chitchat

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

nayaa lafz: **AAJ**** [today]**

**merii jaanib se chand ek moHaavaraat:


-AAJ aaye, kal chale: jaldii aanaa jaanaa [mehmaan kaa kam Thaharnaa] :)
-AAJ baras ke phir na barsuuNgaa: zoroN kii baarish honaa
-KAAL [yesterday] kare so aaj kar, AAJ kare so AB: kaam ko Taalnaa nahiiN chaahiye
-AAJ zabaan khulii hai, kal band: zindagii/maut kaa koii bharosaa nahiiN
-AAJ naqd, kal udhaar: cash transactions ONLY!**

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Aaj ka kaam kal pr mat daal :@:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye


**waah :)

aaj kal = in dinoN [these days]**