ek nayaa silsila shur’u kar rahaa huN shaayad aap logoN ko pasand aaye. is laRii [thread] meN karnaa bas yeh hai k maiN EK lafz diyaa karuuNgaa jisko le kar aise moHaavaraat likhne hoNge jin meN vo lafz must’amil huaa ho…jab aise saare moHaavaraat likhe jaa chuke hoNge tab ek dusraa lafz diyaa jaayegaa…so, Good Luck and participate
****aajkaa lafz hai: AAB
meri taraf se moHaavarah hai:
aab aamad, taimum barKhaast: jab koii cheez mohaiyaa ho jaaye to uske mutaabaadil kii sahoolat vaapas le lii jaatii hai
ab aap koi aisaa moHaavarah likheN jis meN lafz-e-“AAB” kaa iste’maal huaa ho
Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye
**lol…hamaarii ‘zabaan’ [purabiya] pe utar aaye
u ne use kiyaa aab = ab = NOW magar jo lafz maiN ne diyaa hai vo hai AAAAB = water
so aise moHaavaraat do miyaaN jis meN aab=water ke aayaa ho, jaise:
aab aab kar mar gaye, sarhaane dharaa rahaa paanii = maadarii zabaan par kisii aur zabaan ko tarjeeH dene kii Kharaabii **[the evil of preferring a foreign language over ur own]
Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye
**waah…yeh to maiN ne sochaa hii nahiiN thaa…lo ji, maiN to bhaiNgaa ho gayaa
nahiiN jii…chashm kaa matlab aaNkh hii hai magar chashm-e-bad_door moHaavare meN chashm par nazar kaa itlaaq huaa hai…it’s an applied meaning…actual meaning of chashm is…EYE!**jaise…chashm-e-beena…dekhnewaali aaNkh