muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

gahr - Mein samjha ky Qahar likha howa hy :cb:

ghar boly to home. Means Home Sweet Home

kiya yeh acceptable hy?

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

khairaat ghar se shuru hoti hai (charity begins at home) :stuck_out_tongue:
ghar ka bhaidi lanka dhaaye (ghar ka hi koi fard ghar ke raaz bahar walon per khol raha ho)

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

^
:zobo:

Ghar ki murghi daal barabar :smiley:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Lot ke budhoo ghar ko aae, jaan bachai lakhon pae.

Ghar se be ghar karna.

Anyone can tell meaning of ‘bhede ko ghar tak puhchana’. I think blessed might know this

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

:zobo: to lethal

**dhoobi ka kutta na ghar ka na ghaat ka

main bhi rani tu bhi rani kaun bhare ga ghar ka paani

saali adhi ghar wali**

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

sorry muq but i failed to understand what u wrote…i can understand “ko ghar tak pohchana”,but whats bhede?

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

ghar kaa bhedi lanka Dhaaye** to sunaa hogaa…bhaidee = raazdaar…got it Blessed?**

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

haan maine bhaidee ke baare main socha tha lekin jumle main mujhe is ki koi sense nahi lagi.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

istudent late aaya hai imtihaan kay liye. Permission to provide Mohavarah

Khaan - granted.

Nain say Nain, nahhen milavo
dekhathu soorathu,
aawathu jaathu

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

**ok BOSS, the new word is:

dast/haath**

**haath lage kangan ko aarsii kia aur paRhe likhe ko farsii kia :)**Saathi, Haath Badhana
Apna Haath, apna kaam Yes it is urdu, because I said so!

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Aap, Aape

Aapkay haseen rukh pay aaj naya noor hai
mera dil machal gaya tho mera kyaa kusoor hai

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Ghar

Apna hee ghar samajh leejiyeh

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

**haath-**i (elephant) blessed ka saathi :whistling:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

bhede is punjabi. I read that in Younus butt’s book. probably it means ‘bura’ in Punjabi.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

-ghar ghar kii kahaanii
-ghar sansaar
-saali aadhii ghar-waali :wink:
-ghar-baar
-ghar/[baGhal] men laRkaa shahr meN DhinDhora

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

isn’t that supposed to be: baGhal main bacha; shahr main dhindhora?

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Ghar mein sher, galee mein chooha

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Haath -
Saathee Haath Badhana
Ek Akela thak jayega
milkar something something

Saathi haath badhana saathi ray

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

i’ve used baGhal in lighter font…yes, there are variations to this saying. the one i’ve heard mostly in Lucknow is “baGhal meN laRkaa, shahr meN DhinDhoraa:slight_smile:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

bahot Khoob janaab magar is waqt jo lafz chal rahaa hai vo hai “GHAR” :slight_smile: to, ghar pe bhi kuchh 'inaayat kijiye :slight_smile: