muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

‘Tumhari raat ki jo raikha hain woh darasal ‘Raikha’ nahi hy’ :cb:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

watch out folks…here come the true urdu-daaN of GS… :wink:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Do u knw her?

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

yes....she lives in my heart......
kyun?

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Isliyeh poocha ke pata hona chahiyeh ke competitor koun hy :)

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

sirf aik hi hai , rona to zindagi ka sab se aham part hai :crying:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Ek aur bhi aajkal boht istamaal main hai per main bata nahin sakta.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Zaroor koi fuzool sa hoga :naraz:

:crying:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Yes, public main bolne jaisa nahin hai, halanke maine yeh muhawra Bano Qudsia ki zuban se bhi suna hai.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Khalil Bhai next level (word) plz :)

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

**ok ok...sorryu bro...here is the new word:


aap = self, you****

aap/aape se utar jaanaa**** = be_Khud ho jaanaa / insaaniyat se guzar jaanaa / apnii Haisiyat ko bhool jaanaa / maGhroor ho jaanaa**

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Aape se nikal jana ya aape se uttar jana, kia sahi hai?

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

aap aaye, bahaar aayii **= aapke dam se raunaq-e-maHfil yaa aapke dam se kaayenaat meN rang :)**

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

bada khoosourat mohavra hai...wazoo pe fit baithta hai.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

apna ullu seedha karna (contacting someone with the explicit purpose of being selfish, to serve one's own interests)
apnay moun miyan mithu banna (praising ur own self)

Aap ay to bahaar ai WoW

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

**waah BLESSED, waah!!!


  1. aap hii maare, aap hii chilaaye ****= Khud hii zulm kare aur Khud hii mazloomaanah faryaad kare

*2. aap bhale to jag bhalaa* = insaan agar Khud achchhaa ho to use log achchhaa bartaao karte haiN

*3. aap aap karnaa* = Khush-aamad karnaa**

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

shukriya

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Khalil Bhai Next plz :rule:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

**ok to ab yeh lafz pesh-e-Khidmat hai:

ghar

ghar kii murGhii daal baraabar**