muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye


i've never heard of this phrase in urdu b4...but hey, this is a new one u just added! :D thankoo

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Next level plz :@:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

really????
I would have thought that this is one of the most common phrases......

TLK.....where are you?

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

mathay par ankhain charh jana

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Aankhen dikhana (bole to Tadi lagana)

Tota Chashm (dedicated to our politicians)

Aankhen kheera ho jana

Aur iss waqt 'Aankh' se mujhe Kareena Kapoor ki Golmaal wali gali yaad aa rahi hai

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Iss main 'aankh'/Nain/Chashm' kahan hai?

Andhe se mujhe do muhavre yaad aae.

Andha baante revdiyan apno main (Zardari and its cabinet on civil awards)

Saawan ke andhe ko harra hi dikhta hai.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

^
Bhai! why u oftenly drag politicians in your post?

This thread is about Mahaavarah not about pointing on politicians or else. Is it hard to stay on topic?

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

waah…aajkal moHaavaraat meN bhii siyaasat :wink: lagtaa hai Zardaarii dil o dimaaGh pe chhaayaa huaa hai maanind e bhoot :wink: :cb:
**
chashm vaa honaa :)**

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Khalil Bhai next level (alfaaz) konsa hy :)

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye


**ok BOSS, the new word is:

***dast/haath*

haath lage kangan ko aarsii kia aur paRhe likhe ko farsii kia :)

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

"Mere haath mein khujli hoing" <------ mean lakhshmi (paisa) aing :@:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

LKK & KKF, I was just referring to use of Muhavraat. I just recently read ‘Andha baante revdiyan’ in a thread related to distribution of Civil awards.

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Hath Kar jana / Hath dikha jana (Dhoka de jana)

Hath peir maarna

Be dast o paa hona

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye


**yeah, i know! it's great...we actually enjoy your spin :) keep it up bro :)


andhe ke haath baTer lagnaa**** :)**

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

haath maltay reh jana
haathon haath layna

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

(1) Aade hathon lena

(2) Aahni hathon se niptana

(3) Lambe hath hona

(4) Haath khench lena aur Hath uthana (I'm little bit confused ke yeh muhavre hain yaa nahin)

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Rone dhone pe koi muhaware hain to likhein :crying:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

Mehnga roe ek baar, sastaa roe baar baar (Giran faroshon ka pasandeeda muhavra)

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

:smack:

Re: muntaKhib alfaaz se urdu moHaavaraat qalam-band kijiye

**Bay-dast-o-pa hu jana

Hath chor daina

Hath ki safayee dikhana

**