Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
aur jaisay keh bandar kya janay adrak ka swaad is another variation on yourown sentence ![]()
laikin aap toh rahein gay lakeer kay faqeer

Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
^
hamari baat pathar par lakeer jo hai:D
any way, I had read this article in Jung news paper long time ago in which wrong use of muhavraas were mentioned and hans ki chaal wala muhavraa was part of it. Laikin woh kiyaa kehtay haiN?
Hai Jurm-e-Zaeefi sazaa marg-e-mufaajaat :-D
aray naheeN ghalat ho gaya, it was...
Hukm-e-Haakim, Marg-e-Mufaajaat ;-)
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
yea moonh aur masoor ki daal ( or mansoor ki daar )
waisay girta hae shahsawaar hi maidan e jung mein :)
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
^
jo bhee ho:snooty: laikin hamaari daadi huzoor farmaayaa karti theeN
Daal, Qabeela paal ![]()
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
^ lassi aur larai ko jitna merzi berhai ja :p
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
jee nahi hazrat…is ka matlab zameen asmaan keh kalabay milana
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
laikin yeh tau Ta’areefoN kay pull baandhnay wala muhaavraa hai bhai :halo:
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
mian pehlay mahawaray ka matlab bata reha tha...
khair hath kangan ko arsi kya
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
aur paRhay likhay ko Farsi kiyaa ![]()
jee haaN aap nay bajaa irshaad farmaayaa bulkay bajaa bajaa kar irshaad farmaayaa:D maiN bhee yehi samjhaa thaa kay aap nay pehlay muhaavray ki hee miTi paleed kee hai ![]()
kushtoN kay pushtay lagaanaa hargiz does not mean zameen aasmaan ki qulaabaiN milaanaa…
har shaakh par ullu beThaa hai:dhimpak:
Anjaam-e-GulistaaN kiyaa hogaa:konfused:
![]()
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
wah kya keehnay hain
waisay kaheen mahwaray kehtay kehtay undhay nah perh jana
aur khaber ay keh qurashi saab pohanch gai hain neem hakeem keh chaltay phirtey :p
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
^
abhi tau yeh toofaan-e-budtameezi shuru huvaa hai:D
hai justuju kay khoob say hai khoob tar kahaaN :p
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
loo gee ker loo gal
yehan rome jalay aur nero bajai bansri ![]()
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
^
goyaa agar maiN aasmaan say girooN tau laazim hai khajoor maiN hee aTkooN
?
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
qibla tashreef ka tooqra neechay laanay say pehlay paraos ki bail say chakh ker yee batain keh angoor khatay hain ya nahi
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
^
ab lagtaa hai aap aaYeN baayeN shaaYen par utar aaye haiN :D
bay par ki URaa rahai haiN aur OoT paTaaNg jumloN maiN idhar udhar ki haaNk rahai haiN:p
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
Naqqaar khanay maiN toti ki awaaz ab koi sunn-nay wala naheeN kiyaa :( ?
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
aray bhai saamp toh gaya ab lakeer peetnay sa kya faida..
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
laikin yahaaN tau goyaa sub ko SaaNp hi soongh gayaa naa :-S
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
agar aap naak par makhi naheen baithnay daen gaye toh yehi ho ga.
itnay logon nay pyar mohabbat say guftagu karni chahee magar majaal ha jo aap kay kaan par joon raingi ho
Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN
bhai maiN tau sirf turki ba turki jawaab day rahaa thaa kay mehfil ka rung jama rahai..
sirf aap hee samjhay woh kiyaa kehtay haiN
Zubaan-e-yaar-e-munn Turki wa mun Turki naa mee daanum ![]()