MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN

Let’s come up with an urdu muhaawraa and the next person use it in a sentence.

Howzzat? :-p

let’s start with:

KushtoN kay pushtay lagaanaa :hula:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

pehlay iss mahawaray ka matlab to bata dayn :halo:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

iss kaa matlab hai gaajar mooli ki tarah kaaT kar rakh dena :rolleyes:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

oye baal ki khaal na nikalo, tumhain aam khanay say matlab hai ya paer gin-nay say..

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

sawaal gandum jawaab chanaa :smack:

where is the sentence for the asked muhaavraa :hoonh:?

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

aray lo ji, haath kangan ko arasi kiya..abhi zara muhawaron ka mulakhra ho toh hum kushton kay pushtay laga daen gaye, aap tael dekho tael ki dhaar dekho

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

aur paRhay likhay ko Farsi kiyaa

aap nay tau muhaavroN kaa toofaan-e-bud tameezi barpaa kar kay rakh diyaa :bummer: in zarb-ul-amsaal ki aandhi maiN idhar udhar ki naa haankiye :hoonh:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

qibla ab aap no do giyara honay ki tayyari mein hain humari ba muhawara ursu dekh kar..
urdu malakhra ho raha hai kya?

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

maiN sar par per rakh kar kabhi naheeN bhaagtaa.. maiN tau aao dekhtaa hooN naa taao aankhaiN bund kar kay champit ho jaataa hooN :stuck_out_tongue:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

haan haan naach na janay aangan terha..ab ziyadah teen doh paanch ki zaroorat naheen hai

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

bhai maiN tau naa teen maiN hooN naa terah maiN :wink:

aap ulTi GanGaa naa bahaao:p
ninaanway kay aaNkRay maiN lagtay ho :smiley:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

ulta ganga, aray miaan rai ka pahaar aap nay banaya, aur ilzaam hum par, ulta chorr kautwaal ko dantay..

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

jiss kaa kaam ussi ko saajhay, aur karay tau ThenGaa baajay :k: :stuck_out_tongue:

aap ki baat tau ooNT kay moonh maiN zeeray kay barabar ho gayee :hehe:

muhaavroN maiN baat karnaa koi bachoN kaa khel naheeN hai, daaNtoN talay paseenaa aa jaataa hai… jooey sher laanay kay mutaaraadif hai

ab aayaa naa ooNT pahaaR kay neechay :devil:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

aray abhi toh yeh dekhna hai keh oont kis karwat beth-ta hai..matlab yahan toh aisa haal hai keh khodda pahar aur nikla chooha...

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

muhaavraa ghalat ho gaya:mocking:

It’s

oonT kis karwaT beTh-taa hai

yeh kaisaa billi choohay kaa khel chal rahaa hai :konfused:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

PS: this was not the intention of my thread :(

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

pusht and karwat are both used, i changed it to karwat while u were posting because that is the more used one. waisay aap ko bari jaldi khayal aaya

aray bayganay ki shaadi mein abdullah deewna

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

lol.. i was using this one a lot for someone here lately…

Jungle maiN mor naachaa kiss nay dekhaa

chalaiN ab back to the original topic like naa nau munn tel hogaa naa raadhaa naachay gee :nuch:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

challo ji aur log bhi thread join karein gay ahista ahista..bakray ki maan kab tak khair manaye gi, aik na ik din toh churri kay neechay aana hai..

waisay yahan ki public sab aik hi theli kay chatay battay hain

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

chalaiN thaali kay bengan tau naheeN naa :smiley:
bay painday kay loTay hoN shayad :stuck_out_tongue:
chiknay ghaRay bhee ho saktay haiN :bummer:

u mean aik thaali kay chaTTay baTTay matlab farangi kay piThuu :frowning: ?