MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

lai :bummer:

kawwaa chalaa hans ki chaal, apni bhee bhool gayaa :-p

edit: mustaqil been bajaanay wala icon :teary1:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

Ount ray Ount teri koon se kal seedhi

Jungle main more nacha kis nay daikha

na teen main na tera main

qatra qatra darya meeshwad (is that a mahawara? )

bas main thak gai

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

Minerva jee: am I invisible to you :blush:

If I am not certainly many of the replies here are :bummer:

Bhuss maiN chingi daal jamaalo dur khaRi :halo:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

naheen AQ, obviously I know atleast two people who are active here and that is why I took the initiative.
Uff, ‘baat ka batangar na banain ab aap.’
Ab aapko ‘sar ankhoon par bithaon kia’ (here u go, two mahawaras in my sentences :smiley: )
Aap say tow Allah bachai…Aap tow ’ yeh ghee seedhi ungli say naheen nikalnay wala’ kay misdaaq ‘jaan ko he agai hain’ :snooty:

Ab har bat ko ‘dil par mat liya karain’

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

door kay dhool sohanay

khoda pahar nikla chuha

heeng lagay na pithkari or rang bhi choka aaiay

zaroorat eijaad ki maan hai

latoon kay bhoot bataoon say naheen mantay :p

andhon main kana raja

karela woh bhi neem charha

Oonchi dokaan peekha pakwaan

now I don't know how to use all these in sentences...

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

I will ask mod to change the title and include zarb-ul-amsaal in it too :-p

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

door kay dhool sohanay hotay haiN issi liye jub aap nay khoda pahar nikla chuha:D
halaaN kay aap nay chaahaa thaa kay heeng lagay na pithkari or rang bhi choka aaiay kiouN kay aap jaanti theeN kay zaroorat eijaad ki maan hai laikin aap bhool gayeeN kay latoon kay bhoot bataoon say naheen mantay :stuck_out_tongue:

kher ab aap andhon main kana raja tau naheeN rani zaroor haiN:D laikin ab khuda kay liye karela naa bun jaaiye gaa aur woh bhi neem charha:hehe: naheeN tau sub kahaiN gey kay Oonchi dokaan peekha pakwaan:mocking:

Here you go :smiley:

Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN

kiya piddi kiya piddi ka shorba????

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

dama dum mast qalandar :D
samosay pait k andar :D
woh dekho kala bandar :D

Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN

^ lol u r so cute

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

there is a variant of it too : -)

Chay piddi, Chay piddi kaa shorba
(Ofcourse inspired from Farsi)

you forgot one line even though it’s offtopic : -)

dama dum mast qalandar :smiley:
samosaa pait k andar :smiley:
Chawanni Jeb kay andar:D
woh dekho kala bandar :smiley:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

omg i swear i knew i was forgetting a line :smiley:

thanQ :smiley:

TJ not more than u :smiley:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

ulTay baaNs bareli ko :smack:

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

haan haan, kawa chala hans ki chaal, apni chaal bhi bhool gaya..aap ki daal yahan naheen galay gi

Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN

^ aap har jagahay rang main bhang dalnay powhanch jatay hain :p zara churi talay dam bhi lay liya karain...

Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN

Bander kiyaa jaanay Adrak kaa mazaah :stuck_out_tongue:

ghalati kar gaye bhai…

second chaal is not in the original muhaavrah :-p

Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN

anwaar baita.. mullah ki dor masjid tak, just because you have heard it in one way does not mean that how I have stated it is incorrect, as a matter of fact, the way I stated it is the more popular use.

Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN

idhar kia MACHLI BAZAR khola hua hae :halo:

Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN

MeeTha MeeTha hup hup, kaRwa kaRwaa thoo thoo :stuck_out_tongue:

I did not hear anything of that sort what you said I heard, BUT I’ve been reading the use of this muhaavraa in the urdu books ;-p

Laikin agar aap apni deRh eeNT ki masjid deegar awaam-un-naas kay saath banaanaa chahatay haiN tau sar aaNkhoN par :smiley:

Re: MuhaavroN aur Zarb-ul-Amsaal ko JumloN maiN istemaal karaiN

^ abay murghay ki aik taang... I guess I will have to show you that it is also used the way I stated it.