Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
aap dono tu mano jaisay ...
seeta our geeta Ooops I mean Raam our shaam lag rahey hian.
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
aap dono tu mano jaisay ...
seeta our geeta Ooops I mean Raam our shaam lag rahey hian.
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
aap dono hazarat ki guftago nazar se guzri, hamara dil bagh bagh ho giya :),
abhi chund ahbab-e -sukhan apni zuban pe kafi umda dastras rakhtey hein! aur soch rahay hein hein tou aatay mein namak ke braber lekin kissi ne sach hi kaha tha pewesta re shajar se umeed-bahar rakh.
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
ye thread toh mere sar ke oopar se guzar gai!!!
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
Fraud Yaaar, Tum tou AndhooN main Kanay Niklay.
![]()
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
naach na jaanay aangan ttera :)
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
jee bas batna parta hai…jab okhli main sar diya tu mauslon ka kiya dar
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
Aasaib main tujhay khaoun.
Woh hamaray Urdu kay Ustad ganjay thay aik roz kibla jamaat ko jumla poora keejay parha rahay thay. Blackboard per likha Sir mandaatay hi..... jamaat humawaz ho kay boli...Olay paray...saath hi baahir olay parnay lagay. Talk about timing.
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
Oi, kaam kay na kaaj kay dushman anaj kay yahan say bahir niklo tou aatay daal ka bhao pata chalay
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
aray aap is forum mein bhi hain..warnah toh aap ki dorr general or WA mein hi laggi rehti hai..dhobi ka kutta ghar ka na ghaat ka ![]()
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
agar samajh naheen aa rahee toh aap haen kyun yahan…maan na maan mein tera mehmaan ..
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
dekh lena bhai kaheeN daal jootiyouN maiN naa baTwaa denaa ![]()
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
haaan lainay kay dainay nah parr jayen
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
no dow gayara
ankh na deeda karhay kasheeda
yeh moon or masoor ki daal
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
in teenouN maiN jumlay Gadhay kay sar say seeng ki tarah ghaayab kiouN haiN?? ![]()
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
AQ bhai, ap say behas karna tow bhains kay agay been bajanay wali baat hai. Here are a few more,
Chor chori say jai par seena zori say na jai
Bhagtay chor ki langoti khainchna
Dobtay tinkay ko sahara daina
Eik tow chori upar say seena zori
ulta chor kotwaal ko dantay :p
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
^ maan naa maan maiN tera mehmaan:rolleyes:
The answer to your first one is in your last one ![]()
btw: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN ![]()
(lagtaa hai mujhay been bajaanaa paR raha hai abhi tau :D)
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
correction…chor chori say jaye heera pheri say naa jaye..
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
lol… abhi yeh naa ho kay aik tau chori ooper say seena zori :-p
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
Zer-e-lub muskuraanay ki bajaaye khilkhilanay wala icon
Re: MuhaavroN ko JumloN maiN istemaal karaiN
Oops, apologies
ab woh kia hia na kay hum zaban daan tow hain naheen.
kaam ka na kaj ka dushman anaaj ka
a bail mujhay maar
moon ki khana ( main moon ki kha kay reh gai jab woh char sow bees apna number bata kar now dow gayara ho gaya
)
hath dikhana
bacha bagal main, dhindora shehar main
charag talay andhaira