Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Firaaq Mein Lazatein Hain Itni To Sochta Hoon
Visaal Uska Naseeb Ho Ga To Kya Banay Ga
Jo Duur Reh Kar Hararat e Jaan Bana Hua Hai
Woh Shakhs Mere Qareeb Hoga To Kya Banay Ga

BeInG LoNely !!! SId !!!

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Kuch To Hawa Bhi Sardd Thee Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Saath Saath, Hota Raha Malaal Bhi..

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Mohabbat bad-gumani ko hamaisha sath rakhtee hai
Madawa ho bhe ja'ay to , shikayat kam nahi hote

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

So True Sonia ~

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Jo baat hoo ge nahi woo usay ucha'lay gaa
Main jante hon mujhay mas'aala bana lay ga

Nahi kahay ga meray moo pay sach wo zidi shaks
Mujhay bachatay hoay khud ko maar dalay ga

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Ay yaad-e-dost aaj tuu jii bhar ke dil dukhaa
Shaayad ye raat hijr kii aaye na phir kabhii

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Wo loot aayay ga us ka maalal maat kerna
Kisi ke yaad main khud ko nedhaal mat kerna

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Bewafai

Ab koi bhool kar bhi wafa ka naam nahi laita
Teray salook ney chonka dia-----zamaney ko

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Aankh Ke Samander Main
Ashk Ke Sitaray Hain
Tum Lahuu Main Shamil Thay
Hum Tumhain Kion Haray Hain..

(Ahmer)

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

wow sidd....nice thred...

amazin

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Yaa RAB! Gam-e-hijraan mein itna to kiyaa hota
Jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hota
Ik ishq kaa Gham aafat aur us pe ye dil aafat
Yaa Gam na diyaa hotaa yaa dil na diyaa hota

BeInG lOn3ly !!! SId !!!

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Chalo tum ko milata hoon main us mehmaan say pehlay
Joo meray jism main rehta tha mere jaan saay pehlay

Koi khamoosh ho ja'ay to us ke khamshee say dar
Samandar chup he rehta hai kisi tufaan saay pehlay

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Beautiful..

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Agarcah gham say pathar ho gaya hoon **
**Magar pehlay say behtaar ho gaya hoon

Mujhay tanha nahi hona tha shayad **
**Magar tujh say bichar kar ho gaya hon

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Jeena asaan to nahi tujh se bichar kar lakin
Apne haathon ki lakiron ko mithaon kaise

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai


*nahi fursat yaqeen mano mujhay kuch aur karne ki
teri yaadain ,teri baatain bohat masroof rakhti hain *

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

ye lein muhabbat pey ek Sher

qabro mei nahie hum ko kitabo mei utaro
hum loag mohabbat ki kahani mei marey hei!!!!

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

meeri rooh ki haqeeqat merey ansuoo se poocho
merey qehqahao ki duniya meri tarjumaan nahie hai

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

najaney keyoon chor gya yadoon k Andheroon mein mujhey
mein ne tu barha keha tha mujhey Andheroon se durr lugta hai

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

dard ki tamazat main
rozo-shab ki riazat main
kia maila muhabat main
ik hijr ka sehra
ik shaam yadoon ki
ik thaka hua ansoo
aur
...........bas........