Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Har cheez kayeenat ke meray aas pass hai
Lakin teray bagair mera dil udass hai :(

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Dukh, Dard, Saaniha, Gham-o-Zakhm, Haadsa
Kia Kuch Nahi Dia Hai, Humko Hayaat Ne..

(Ahmer)

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Tujhay Kis Tarah Ye Bataon Main
Meri Saansain Kitni Qaleel Hain
Tujhay Khoj Lene Ke Marhalay
Meri Zindagi Se Taweel Hain

(Ahmer)

2 Likes

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

@Sj Dil Udaas Hai Umda
@ Ahmer nice shair ahmer :)

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

this is really Good :k:

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

beautiful tread wid great sharings
n pics r super
i love especially this one

2 Likes

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Habs-e-dunya say guzar jatay hain
Aisa kertay hain kay mar jatay hain

Ab na daykho mere banjar aankhain
char'tay darya to utar jatay hain

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Thanks Sonia :)

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

U really have a gud choice of reading thanks madiha for these words :)

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Thanks Amal Bhai

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Hum ne dil hi torr daala dharkanoo ke khoaf se
Apni basti hi mitta di baarishoo ke khoaf se
Kaun kehta hai ke hum ko zindagi raas aa gaee
Woh tu yunhi hans leye thay aansoun ke khoaf se ...

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Iss Sheher-e-Muhabbat Main Ajab Kaal Para Hai
Hum Jese Subuk Loag Bhi Nayaab Buhat Hain

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Ager Tuu Ittifaaqann Mil Bhi Jaye
Teri Furqat Ke Sadmay Kam Na Hongay

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Gherat-e-Ishq Ko Qubool Nahi
Ke Tujhay Bewafa Kahay Koi..

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Ye Aana Koi Aana Hai Ke Buss Rasmann Chalay Aye
Ye Milna Khaak Milna Hai Ke Dil Se Dil Nahin Milta..!!

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

^^Really Mr Siddique. :slight_smile:

WeLL mein idar hi hon. Tumharay aas pass. Its just that i got a little more bz these days. Dont get time to find things 2 post.

Anywayz tum itna miss kar rahay ho to kuch na kuch to add karna paray ga.

WISAAL
door tak waadiyan hein phoolon ki
meri aankhon mein aks tera hai
chaand ghulnay laga hai paani mein
har taraf saanwala sawera hai

SOACH (yaad)
tujko sochoon to aesay lagta hai
jaisay khushbu se rang miltay hein
jaisay sehraa mein aag jalti hai
jaisay baarish mein phool khiltay hein

DARD
rahaa na dil me.n vo be-dard, aur dard rahaa
muqiim kaun huaa hai, maqaam kis kaa thaa

**
WAFA**
zindagi dard bhi, dawa bhi thi
hamsafar bhi, gurez-pa bhi thi
kuch to thay dost bhi wafa-dushman
kuch meri aankh mein haya bhi thi

P.S Nice Thread. Lot of good stuff 2 read. :k:

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

tera milna khushi ki baat sahi
tujhse milkar udaas rehta huun
:rose:

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

**mere qareeb na aao k maslihat hai yehi
tumhaaray qurb mein andesha-e-judaee hai
**

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Thanks alot Asad for your presence :) so nice to see u here !ALLAH aap ko kaamyaab kare Amin !

Re: Mohabbat,Vasal,Furqat,Yaad,Dard,Bewafai

Nice Ahmer Jw And Zawanfira :bb: