Jin BhootoN ke Saaye sune they HaseenaaouN pe ho jaate haiN ..aap per kissi DarakHt ka Saaiyaa hogaiya ..aap te phir Kamaal-e-Musawari ki Intehaa hoNgi aur Kissi Bakaamaal Musawar ka Haseen-tareen Shaahkaar hoNgiN
MaiN ne kahaa thaa keh aap ka Sher Mahsallah bohaat hi acHa haai lekiN aabhi ham bhi to parhi haiN RaahoN mein ka matlab thaa keh ab meri Turn hai Janaab matlab yeh keh aB mera Sher dekhyie ::
[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** MaiN ne kahaa thaa keh aap ka Sher Mahsallah bohaat hi acHa haai lekiN aabhi ham bhi to parhi haiN RaahoN mein ka matlab thaa keh ab meri Turn hai Janaab matlab yeh keh aB mera Sher dekhyie ::
[quote]
Originally posted by Nayab: Roshni tera hawalaa tehray
Meri haar saans duwa karti hai
Meri tanhaii say khamoshi teri
Sher kehti hay, sunha karti hai ...
[/quote]
**Duaa karo ke yeh Paudaa sadaa haraa hi lage
UdaasioN se bhi Chehraa khilaa-khilaa hi lage
Yeh ChaaNd taaroN kaa AaaNchal usi kaa Hissaa hai
Koi jo doosraa orhhe to doosraa hi lage
NahiN hai mere Muqaddar meiN Raushani na sahi
Yeh khirhki kholo zaraa Subah ki Hawaa to lage
**
*Aye Shor e Qayaamat ham sote hee na reh jaa'yeN
is Raah se guzre to ham ko bhee jagaa jaanaa
*
[This message has been edited by Tassneef (edited July 06, 2002).]
Haar gharri khud se uljhana hai muqadara mera
Main hi khasti ho mujh hi me hain sumunder mera
Aik seh ho ghay musamoo keh chehree saray..
Meri ankhoo me kabhi kho gaya manzaar mera
Aaina dekhaa kee niklaa tha main ghar se bahir
Aj tak hath me mehfooz hai pathaar mera
Hontoon peh mohabaat ke fasane nahin ate
Sahil pe samunder ke khazane nahin ate
Palkein bhi chamak uthati hai sote main humhari
Ankhoon ko abhi khawaab chupane nahin ate...
[quote]
Originally posted by Nayab: Hontoon peh mohabaat ke fasane nahin ate
Sahil pe samunder ke khazane nahin ate
Palkein bhi chamak uthati hai sote main humhari
Ankhoon ko abhi khawaab chupane nahin ate...
[/quote]
**Izhaar-e-mohabbat na kiyaa bas isi Dar se
Aisaa naa ho gir jaaun kahiN un ki nazar se
'Fayyaz' ab aayaa hai junooN Josh pe apnaa
HaNstaa hai Zamaanaa maiN guzartaa hoon jidhar se **
**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!
[quote]
Originally posted by Nayab: Kitaab kion kohi pardhne bethe gha meri be-rang zindagii ki
Main is keh waraaq aap hi jab baghair dekhe palaat raha ho...
[/quote]
**MaiN ne,KaagHaz, Qalaam, KitaaboN se
Apni TanhaaiyaiN sametiN haiN
**
**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!