Meri arzoo...

[quote]
Originally posted by Nayab:
Chalte chalte yuh lagha jese rashta keh raha ho
Kohi manzeel hi nahin to tum kis keh reh-nomah ho

[/quote]

**Har ik Ajnabi se Patta poocHte haiN
Tujhey Zindagi ham kahaaN cHorh aaye

Nikaal aaiyee Tanhaa teri Reh-guzar per
BhaTakne ko ham KaarwaaN cHorh aaye**


**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

Laghtee hai zindagii kohi bulha howa sabaak
Jese kabhi ka dekha howa khuwaab ho kohi...

[quote]
Originally posted by Nayab:
Laghtee hai zindagii kohi bulha howa sabaak
Jese kabhi ka dekha howa khuwaab ho kohi...

[/quote]

*Khwaab to Harf haiN
Khwaab to Noor haiN
Khwaab to Suqraat haiN
Khwaab Mansoor haiN
*


**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

**Khwaab sirf khwaab hai **

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tongue.gif

Who said that?
agar kHwaab na hoN to, yeh Ilhaam, Kashf, PeshangoiyaaN ,Nuzool sab cheezeiN be-assar haiN.

Manzil ka Taiyyun hamesha kHwaab se kyia jaata hai ..agar kHwaab na ho to aapko manzil bhi na mile..kHwaab yaqeenan Reality nahi hai ..magar kHwaab ka wujood hi hai jo Manzil ka Ehsaas dilaata hai iske bagHair aap youN samjhiye keh aapko Manzil ka tayyun karna hi namumkin hai yani keh aap kiss tarah kaheNgi keh yeh meriManzil hai

Maan apne Bache ke behtreen Mustaaqil ka sochti hai yahi kHwaab hai wo Mash’al jo ussko iss baat ka tayyun dilaata hai keh Manzil keya hai..usska Haddaf(Target) keya hai.?


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

Din dhoob jata hai par sehar nahin hoti
Dil toort jahta hai par khabaar nahin hoti..

Zindagi jin kee hum qadaam na ho
Unhein pher marne ki fikhar nahin hoti..

Milti nahin tabeer har khuwaab ko yaha
Ulfat main roshan sabki sehar nahin hoti..

Milte hai saharay maghar justuju keh baad
Yunhee to mushkilein sehel nahin hoti..

Safar main faslogh ka barhna inayaat hai
Warna to manzilon ki qadaar nahin hoti..

phir kissi ne mera chocolate chori keya hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

waah,kya baat hai aap ki

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

[quote]
Originally posted by Nayab:
**

Milte hai saharay maghar justuju keh baad
Yunhee to mushkilein sehel nahin hoti..

**
[/quote]

**Yeh Aarazoo thi tujhe Gul ke roobaroo karte
Ham aur bulbul-e-betaab Guftgoo karte

Meri tarah se Maah-o-Mehar bhi haiN Aawaaraa
Kisi Habeeb ko yeh bhi haiN Justajoo karte **


*Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
*

Hmm kia ho gaya jee…koun si chocolate

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/confused.gif

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
**
**Yeh Aarazoo thi tujhe Gul ke roobaroo karte
Ham aur bulbul-e-betaab Guftgoo karte

Meri tarah se Maah-o-Mehar bhi haiN Aawaaraa
Kisi Habeeb ko yeh bhi haiN Justajoo karte

Mujhe is keh jawaab main kohi sher yaad nahin a raha

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

[quote]
Originally posted by Nayab:
**

hmm Jusujoo= Arzuuu, Chaahat etc etc hazaaroN asha’aar hain warna koi aur

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

Hmm aik arzoo per yaad aya...he he mujhe yaad a gaya..eshi hi main roh rehi thee...

he he
Okay Arz kiya hai :

Yehi arzooh hai meri..Hai yehi meri tamanaa
Keh main ansoohoN main dhooboN to khushi seh muskurahoN

waah abrhi tezi se aaiya hai lollzz

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**HaNs ke bolaa karo bulaayaa karo
Aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo

MuskaraahaT hai Husn kaa Zewar
Roop barhtaa hai muskaraayaa karo **

PS:- assal Tallafuz MuaskarahaT hai na keh MuskurahaT


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** waah abrhi tezi se aaiya hai lollzz

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**HaNs ke bolaa karo bulaayaa karo
Aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo

MuskaraahaT hai Husn kaa Zewar
Roop barhtaa hai muskaraayaa karo **

PS:- assal Tallafuz MuaskarahaT hai na keh MuskurahaT

Okay dost jee thanks ab yaad rehe gha…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Teri zulfeiN teri aankheN tere aaraz tere hoont
HussN pe hussN bhi kia silsile-waar aya hai ..

[quote]
Originally posted by Nayab:
**

Nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Husn bhi Husn pe silsilaa waar aaiya waah

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**Husn kaa haq nahiN rehtaa baaqi
Har Adaa meiN wo adaa karte haiN

Kis qadar haiN teri AaNkheN be-baak
In se Fitne bhi Hayaa karte haiN**

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 08, 2002).]

Hmmmm

Chehre ka nissf hissah zeer-e-nikaab rakh kar
Karte heN hussn waale, dedaar me milaawaat..

[quote]
Originally posted by Nayab:
**

Chehre ka nissf hissah zeer-e-nikaab rakh kar
Karte heN hussn waale, dedaar me milaawaat..**
[/quote]

HUSSN KE SATH HER SHAKHS KO MILTA HAI GHAROOR
CHAHNE WALO SE BEEZAAR FAQAT TU HI NAHI

Bohot khoob coolfalme jee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Ayeena deekhte heN woh chup chup ke baar baar
Zulfein bigaard ke kabhi zulfein sanwaar ke..

MaiN kis tarah tujhe dekhooN nazar jhijhakti hai
teraa badan hai ke ye AainoN kaa dariyaa hai


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**