[quote]
Originally posted by Nayab:
**Bohot koob
Hum neh issay bhi apni kitaab main likh liya hai he he
Pani main ansoo bahane se katreh nazaar nahin athe..
Tothe hohe aine kabhi jordhay nahin jahtay..
To neh shayaad samjha ke bhool chuke thay hum..
Dil ke gaho aj bhi tazah hai siraf tumhe nazaar nahin athay ...
**
[/quote]
Thanx but note:- its not mine.unknown shair ki hai:-
**Dil ki Baat LaboN par laakar ab tak ham dukh sehte haiN
Hamne sunaa thaa is Basti meiN dil waale bhi rehte haiN
Beet gayaa Saawan kaa Maheenaa Mausam ne nazreiN badliN
Lekin in piyaasi AaNkhoN meiN ab tak AaNsoo behte haiN**
*Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai *
Russwayon ko ghar ka pata deh rehi ho tum
Annkhon main ansoo ko jagha de rehi ho tum
Sharma ke apne haton se chehra chupa liya
Asha lagha ke mujh ko duwa de rehi ho tum..
takeh sisilaa munqate na ho..anyway ab cHuTTi hogai hai aur maiN farigH hoooN..!!
**Nazar milaa na sake us se us Nigaah ke baad
wohi hai Haal hamaaraa jo ho Gunaah ke baad
**
**Wo Ilm de jo kItaaboN se Be-Niaaz kare
Wo Aql de ke do Aalam meiN Sarfraaz kare
Mujhey to is se gHarz hai keh Raazi ho Dilbar
Yeh kaam Qais´ kare ya koi Aiyaaz´ kare
**
[This message has been edited by Tassneef (edited July 02, 2002).]
**
Shamma keya kHaak Jali ham hi jale they Shab bhar
Haaye uss Lazzat-e-Hiskaat ne sone na diyaa**
Note:- Hiskaaat meraa Ijaad-karda lafz hai..(isska kissi bhi lugHat meiN Matlab nahIn milegaa ) (iss cheeez ko kehte haiN Ikhteraa karnaa..yaani naye Alfaaz ko Ijaad karnaa..jo keh rozaana Shoaraa karte rehte haiN) yeh lafz Hiska se niklaa hai hiska kehte haiN farsi zubaan meiN ..Mubaalaa meiN jeetne ki dhun… ko..
To kehne ka amtlab yeh hai keh kal raat mera aur Shamma ka muqqaablaa chalta rahaa..Shaiyaar apne Mehboob ke Hijr mein kurh kurh ke jalta raha aur shamma roshani ke lyie lolzz ..aur dono ke darmiaan jo Jalne ka muqaablaa hwua thaa uss ki Lazzat ki wajah se so nahin paaiyaa !! kher yeh to aik Misaal di haii
Jin BhootoN ke Saaye sune they HaseenaaouN pe ho jaate haiN ..aap per kissi DarakHt ka Saaiyaa hogaiya ..aap te phir Kamaal-e-Musawari ki Intehaa hoNgi aur Kissi Bakaamaal Musawar ka Haseen-tareen Shaahkaar hoNgiN