Kab nikalte hai kohi dil main uthar jahne keh baad..
Iss galhi ki dosree janaab kohi rastaa nahin ..
[quote]
Originally posted by Nayab:

[/quote]
*Maatam ki fazaa hai Shehr-e-Dil meiN
Mujh meiN koi ShakHs mar gayaa hai *
*Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai *
Kuch qeyaamat seh kam nahin hai dost
Dil main tera khyaal anhaa bhi...
[quote]
Originally posted by Nayab:
Kuch qeyaamat seh kam nahin hai dost
Dil main tera khyaal anhaa bhi...
[/quote]
Tumhaari Qaid se yeh Dil kabhi to niklegaa
Tere Jamaal se Bahir kabhi to aaigaa
*Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai *
Woh mera dost hai sarhay jaha ko hai yeh maloom...
Dagha karhay woh kishi seh to sharaam ahay mujhe...
[quote]
Originally posted by Nayab:
Woh mera dost hai sarhay jaha ko hai yeh maloom...
Dagha karhay woh kishi seh to sharaam ahay mujhe...
[/quote]
Dost ban kar bhi nahiN saath nibhaane waala
Wohi Andaaz hai Zaalim ka Zamaane waalaa
*Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai *
nayab aap ki baat say 100 % ittifaq kertay hain Tajdaar Adil bhee
he says"
her aik chahray pay dil ko guman us ka tha
basa na koi,yeh khali makan u ka tha
(for tasneef)
phir uss k baad koi baat bhee zarooree nahee
meray khilaaf sahee, woh bayan uss ka tha
may uss k tilism say baahur kahan talak jaata
faza khulee thee magar aasmaan uss ka tha
Show_Sha Bhaai maiN kucH youN kahooNgaa Nayaab Sahiba ke lyie:
Aye ShaahSawaar-e-Husn yeh Dil hai yeh mera Dil
Yeh ZameeN teri hai Qadam Naaz se uThaa
aur aap ke Ashaa’ar ka jawaab Mulahizaa Farmaaiye:-
Is Daur ka yeh Saaqi,Ghar se to na kucH laiyaa
Máý-e-kHaana usi ka thaa, Máýe uski thi,Jaam us ka thaa
Saazinda tha yeh,iske,sab Saajhi they Meet uske
Dhun iski thi,Geet uske,lab iske,Payaaam uska
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **
[This message has been edited by Tassneef (edited June 30, 2002).]
[quote]
Originally posted by show_sha:
**nayab aap ki baat say 100 % ittifaq kertay hain Tajdaar Adil bhee
he says"
her aik chahray pay dil ko guman us ka tha
basa na koi,yeh khali makan u ka tha
(for tasneef)
phir uss k baad koi baat bhee zarooree nahee
meray khilaaf sahee, woh bayan uss ka tha
may uss k tilism say baahur kahan talak jaata
faza khulee thee magar aasmaan uss ka tha
**
[/quote]
Thanks jee
[quote]
Originally posted by Tassneef:
**
Show_Sha Bhaai maiN kucH youN kahooNgaa Nayaab Sahiba ke lyie:
Aye ShaahSawaar-e-Husn yeh Dil hai yeh mera Dil
Yeh ZameeN teri hai Qadam Naaz se uThaa
aur aap ke Ashaa’ar ka jawaab Mulahizaa Farmaaiye:-
Is Daur ka yeh Saaqi,Ghar se to na kucH laiyaa
Máý-e-kHaana usi ka thaa, Máýe uski thi,Jaam us ka thaa
Saazinda tha yeh,iske,sab Saajhi they Meet uske
Dhun iski thi,Geet uske,lab iske,Payaaam uska
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
Thanks dost jee..Aap ki to choice humhesha seh achee hoti hai..Ab to daar laghta hai keh kahee aap humhara shair par na hanseh..Ap to aap keh aghay kuch bhi nahin…
dosti bhi iNsaan ki unhi insaanoN se hoti hai jo uske aqeeda ke mutaabiq hoN..Zauq milta ho Understanding ho
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
agar mujhey aap ki Choice bore lagi oti to maiN kabhi ka yeh Bait-baazi band kar chukaa hotaa..hhehee ab ThanDi saans lijye aur kucH pesh kijye
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **
Thanks jee...ab kuch sakhoon milha hai ..he he
Darde-dil un ko bakaash dhay ya RAAB
Jo mere ghum par muskuraya karte hai ..
[quote]
Originally posted by Nayab:
**Thanks jee...ab kuch sakhoon milha hai ..he he
Darde-dil un ko bakaash dhay ya RAAB
Jo mere ghum par muskuraya karte hai ..**
[/quote]
*HaNsne kaa Shauq ham ko bhi thaa aap ki tarah
HaNsiye magar HanNsi kaa Mazaa ham se poochhiye *
*Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai *
Mere dukhoN seh na kohi udaas ho jahay..
Main apneh chehre peh khushi sajaha lehti ho..
**Haal-e-gHam unko sunaate jaayiye
Shart yeh hai keh muskuraate jaayiye
Shukriyaa lutf-e-musalsal kaa magar
gaahe gaahe Dil ko dukhaate jaayiye **
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
**Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai **
[This message has been edited by Tassneef (edited June 30, 2002).]
Na socha tha dil laganeh se pehlay..
Keh tort jahay gha dil muskurane seh pehlay..
[quote]
Originally posted by Nayab:
Na socha tha dil laganeh se pehlay..
Keh tort jahay gha dil muskurane seh pehlay..
[/quote]
**KucH to Ehsaas-e-ZiyaaN thaa pehle
Dil kaa ye Haal kahaaN thaa pehle
gHam ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir'
kHaanaa-barbaad kahaaN thaa pehle
**
*Ham Ehl-e-Qafas tanhaa bhi nahiN har roz Naseem-e-Subah-e-Watan
YaadoN se Mo`attar aati hai AshkoN se Munawwar jaati hai *
GhumoN main rehte rehte ,Khushi ka tarana bhool gahay..
Teri yaad main assu bahate bahate hum muskurana bhool ghay …
**Mujh se meraa keya Rishtaa hai har ik Rishtaa bhool gayaa
Itae Aaine dekhe haiN apnaa Chehraa bhool gayaa
Ab to ye bhi yaad nahiN hai farq thaa kitnaa donoN meiN
Us ki BaateiN yaad rahiN aur us kaa Lehjaa bhool gayaa
Piyaasii Dharti ke HonToN par meraa naam nahiN to keyaa
MaiN wo baadal kaa Tukrhaa hooN jis ko Dariyaa bhool gayaa
Duniyaa waale kucH bhi kaheiN “Raashid” apni majboori hai
Us ki Galli jab yaad aai hai ghar kaa rastaa bhool gayaa **