Bcs aap aati uss waqt hain jab hamare din hota hai..iss waqt 4 bajne waale haiN ..aur 4 bajje maiN Job per chal jaataa hooN usske bad 7 bajjey gHar aata hooN
Wesse aap bataaaiye maiN keya karooN..jabkeh maiN abhi February meiN hi faarigH huwa hooN study se aur usske ilaawaa part time job haai…Fulltime maiN September meiN karooNga to keya september tak keya karooN? awaaraagardi?
Bait-Baazi to aisse hi hoti hai naa..insaan jab asha’aar parhta hai to aati hai naa..ab hazaaroN sher to zehan mein nahin rehte na..lollzz
aur wesse bhi aik do martaba aik sher ko parh lo to yaad hojaate haiN ..Ilm meiN azaafa hota hai..
[QUOTE]
Originally posted by Nayab:
**
[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** MaiN kis tarah tujhe dekhooN nazar jhijhakti hai
teraa badan hai ke ye AainoN kaa dariyaa hai
Hmmmm
*Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
*
[This message has been edited by Tassneef (edited July 09, 2002).]
sites isi lyie to hoti haiN…wesse DhooNDne meiN barha mazaa ata hai..aisse jaisse Insaan Shikaar kar raha hoon hehee…
Jo sher yaad ho wo to asaani se type ho jaata hai..magar mazaa to tab hai jab insaan Dhoond kar layee Nayaab sa Sher hehehee
[quote]
Originally posted by Nayab:
** Hmm oh acha acha lekin humhe to aap ka ziada acha lagha....sochte hai keh ab hum kia likhay..hmmm**
[/quote]
Hmm dost jee hum yeh sheer likh to rehe hai lekin humhe esha laghta hai keh hum neh pehlay bhi apa ko likha hai ..Aghar esha howa to bata dijye gha..okay
Dekha jidhar paya alam hijaab ka
Jali ko naam deh diya hum neh niqaab ka
Dukh ki tapish hai ,dharkanain,tanhaiyan bhi hai
yeh zindagi hai jaise din ho hisaab ka
Meraa Qalaam nahiN Tasbeeh us MubaaligH ki
Jo bandagi kaa bhi har dam Hisaab rakhtaa hai
Meraa qalaam nahiN Meezan aise Aadil ki
Jo apne chehare pe dohraa Naqaab rakhtaa hai
**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**
Jee sehi kaha aap neh …Humhe bhi esha hi laghta hai jab hum ashaar doondte hai ..Esha laghta hai jese ankhay siraaf ushi sheer ko doond rehi hoti hai …
Meraa Qalaam nahiN Tasbeeh us MubaaligH ki
Jo bandagi kaa bhi har dam Hisaab rakhtaa hai
Meraa qalaam nahiN Meezan aise Aadil ki
Jo apne chehare pe dohraa Naqaab rakhtaa hai
Hmmm bohot khoob..lekin dost jee kia hum yeh poch sakhte hai keh sheer kis ka hai..kion keh humhe esha lag raha hai keh yeh qalaam aap ka hi hai …