Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan peh haath rakhna
Meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aain tum ko

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


hamaarey beech meiN mulaqaatoN ka kya saleeqa tha
wo bhula chuka tha aur meiN ney *yaad *dilaaya bhi nahi

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


mazaa to ye hai ki vo Khud to hai naye ghaR meiN
aur us ki **yaad **puraane makaa'N meiN rahti hai
agarche us se mere betakallufii hai bahut
jhijhak si ek magaR darmiyaa'N meiN rahti hai

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


tumhare khayaloN ki angnaiyo'N meiN meri yaad ke phuul mahke to ho'nge
kabi apni aaNkhoN ke kajal se tum ne meraa naam likh kar miTayaa to hoga

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

how i was with her, she remembers
all of my memory, even though
she is all capable of forgetting me

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


**yaadai'N **bhi haiN umeed be hai baybasi bhe hai
aye dost kiya nahi hai humaari nigaah meiN

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


yaad karte haiN jab wo diN hum aaj bhi
hain kitne tanha teRey biN hum aaj bhi

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


Yaad bhi uss kee yeh kehti hui dil say nikli
Aisi ujRi hui basti maiN bhala kia rehna

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


yaadeiN chaliN Khayaal chalaa ashk-e-tar chalay
lekar payaam-e-shauq ka'ee naamabaR chalay

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


yaad karnay ke siwa ab kar bhi kya saktay hain
bhool janay mein tujhay nakaam ho janay ke baadh
<!-- / message -->

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


nah fursat yaqee'n mano mughay kuch oR keRnay ki
teri batain ,teri yaadain buhat masruf rakhti hain
<!-- / message -->

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Iss Main Shamil Hai Meray Bakht Ki Tareeki Bhi
Tum Siaah Rang Jo Pehno Gi To 'Yaad' Aaonga..

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


main ne palkooN se deR-e-yaaR peh dastak de hai
main wo saa-il hoon jisey koi sadaa*** yaad*** nahiN

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

ye kaafile ***yaadoN ***ke kahiiN kho gaye hote ek pal bhii agar bhuul se ham so gaye hote ai shahr ! teraa naam-o-nishaaN bhii na hotaa jo haadisey hone they agar ho gaye hote

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

yaadoN ki jaReN phooT hi paRti haiN kaheeN se
dil sookh bhi jaata hay to banjar nahi hota

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

shaam pa.Date hii kisii shaKhs kii yaad
kuuchaa-e-jaa.N me.n sadaa karatii hai

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Abb To Ye Ashk Main Palkon Se Chura Leta Hoon
Haath Se Khud Inhain Ponchho Ge To 'Yaad' Aon Ga

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Jis Qadar Main Ne Mita-Ay Teri Yaadon Ke Naqoosh
Dil-E-Betaab Ne Utna Hi Tujhe 'Yaad' Kiya

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Yaad bhi kaesa ajeeb marham hey
aur bhi zakhm kureed deta hey

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

YaadoN ka aik shor tha rastoN meiN har taraf
hum aik bhi pal dasht meiN tanha nahi rahey