Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

**Unwaan: ** Yaad

Saabqa unwaan: Raat, Shaam, Zindghi, Chaand, Gulaab, An’nkhaiN, Mohabbat, Dil, Khushbu

PS: Barah-e-meherbani poori ghazal post karney sey ijtinaab kijeeye.
*** **Agar aap ke paas deeye gaey unwaan sey mutaaliq kai aashaar heiN to unhey alag, alag post kareiN ta ke infiraadiyat bhi barqaraar rahey aur parrhney meiN bhi lutf aey.

Shukriya

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

*Tujh ko sochooN to roshni dekhooN
yaad mehtaab ho gai shayed
*

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Kitni aziyat sey us ney mujh ko bhulaaya ho ga
meri yaadon ney usey khoob rulaaya ho ga
baat-be-baat aankh us ki jo chalki ho gi
us ney chehrey ko bazuoN mein chupaaya ho ga

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

**
Guzrey huwey taweel zamaaney ke baad bhi
dil meiN raha wo chorrh kar jaaney ke baad bhi
pehlu meiN reh ke dil ney dia hey bohat fareyb
rakha hey us ko yaad bhulaaney ke baad bhi
**

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

**
Shaam hotey hi teri yaad ki paagal khushbu
need aankhoN sey sakooN dil sey mita deti hey
**

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

**
Aa gai yaad shaam dhaltey hi
bujh gaya dil chiraagh jaltey hi
**

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

aa'ey he tha khayal k aa'nkahiN chalak ga'een
aansoo kisi ki **yaad **se kitnay qareeb they

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


yaad kyaa dast-e-hunar hai ki saNvartaa gay'aa maiN
us ko sochaa to use **yaad **hii kartaa gay'aa maiN

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


apni yaadooN ko rook lay ab bhi
hum se sajday aadaa nahi hotey
yuuN na halaat shikasta ho
aik se diN sadaa nahi hotey

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


ujaalay apni yaadooN k hamaray saath rahnay do
na janay kis gali maiN zindghi ki shaam ho jaa'ey

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

*saja latay hein yaadooN k kaa'ee chehraykaa'eepaikeR* *mageR kuch sooch keR hum nay ye ghaR veeraN rakha hai* *humeiN shouq e aazee'aat hai wageRna is zamanay meiN* *tayree yaadaiN bhulaanay ko bahut samaN rakha hai***

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Koi Mausam Ho Dil Main Hai,Tumhari YaaD Ka Mausam
Tumharay Baad Badla He Nahi Jaana'n,Tumharay Baad Ka Mausam

Amjad I Amjad !

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

tumahari*** yaad*** ke lamhay barey dilchasp hote haiN bas Itni daiR tak ehsaas-e-tanhai nahiN hota

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Suno Zikr Hai Kai Saal Ka, Koi Waadaa Mujh Se Tha Aap Kaa
Vo Nibhane Ka To Zikr Kya, Tumhein Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Momin Khan Momin !

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


ye zabat toot gay'aa tu tumhaRi*** yaad*** aa'ee
maiN thaak k toot gay'a tu tumhaRi yaad aa'ee
tumhaRay baad na tha koi meRa dil k siwa
ye dil bhi rooth gay'aa tu tumhaRi yaad aa'ee

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad

Nasir Yoon Uski Yaad Chali Hath Thaam Ke
Mailay Main Is Jahan K Khoonay Nahi Diya !!

Nasir Kazmi !

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


shab-e-tanhaai meiN sitaaroN ka libaada orrhey
teri yaadoN ke jugnuN sey chamakney lagtey heiN

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


Teri yaad vird-e-zubaaN huwi to ajab rung dekha gaye
Kabhi ashQ ankh maiN agaye kabhi a'h dil main sama gaye

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


aay doost! teri yaad bhi kitny ajeeb hay
jab aa gaye to gooya, zamanay Teher gaye

Re: Mehfil-e-Unwaan -- Yaad


ur kuch der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhii kam dukhataa hai vo yaad bhii kam atay hain