GhaR MaiN HaY WoH San'naattA K JungaL Maat LagaY
ShaaM DhalaY JaB GhaR PohanchhoN ToU AadI RaaT LagaY
KhaT MaiN DIL Ki BaataiN LikhnA AchchI BaaT NaheN
GhaR MaiN KitnaY LoG HaiN JAanaY KiS K HaatH Lagay
BhoolnaY Ki Ab Kay BaarI HaY TayrI
DIL MaiN PhiR Badgumaa'n HonaY LagA
HijR Ki TahiR Is KarrI DhooP MaiN
Ab ToU MaiN BaysaibaaN Honay LagaA
**************************************
Umer Bhar Kaun Nibhataa Hay Ta'alluq Itnaa
Ay Mayri Jaan k Dushman Tujhay AllAH Rak'khay DIL Bhi Pagal Hay K Us Shakhs Say Wabasta Hay
Jo Kissi Aur Ka Honay Day Na Apna Rak'khay
Khushi ka maoqa ho ya waja dil dukhaaney ki
us ko har baat pe aadat thi muskuraaney ki
morr judaai ka aaya to bilak ke roney laga
meiN ney koshish to bohat ki usey samjhaaney ki
Abhi hey zara wo asar jisey meri zaat ney pooja kabhi magar
wo januN to kab ka khatam huwa, wo soorat to dil sey utar gai
mujhey kis jurm ki saza mili ke meri rooh tak hey thaki hui
meiN apni jaga sey hilaa nahi meri saaNs phir bhi ukharr gai
**
Amal's
Apni mohabbat ka malba uttha ke kya karta!
wafa ki maot pe dil aaNsu baha ke kya karta!
usey to aadat thi rastey badaltey rehney ki
meiN uski raah meiN palkeiN bicha ke kya karta!
**
Ye weham nahi to kya hey, ye gumaaN nahi to kya hey!
ye jo dil sey utth raha hey, ye dhuwaaN nahi to kya hey!
tujhey kis dard ki shiddat merey dar pe kheiNch laai!
tujhey kis ney keh diya tha merey paas har dawaa hey!**
Tujhey kya khabar aey humdum ke teri aarzu ke badley
merey dil pe jo laga tha, ab tak wo zakhm haraa hey
par gila nahi hey tujh sey, merey khaloos meiN hi kami hey
meiN ney jisey bhi dil sey chaaha, usey laga ke wo khuda hey
**
Shab-e-firaaq ki kahaani samajh sako to suno
trraptey dil ki zubaani samajh sako to suno
qalam ki nok par fiqrey naraaz beitthey heiN
merey alfaaz ki heiraani samajh sako to suno
**
Amal's
Shab-e-firaaq ki kahaani samajh sako to sunotrraptey dil ki zubaani samajh sako to sunoqalam ki nok par fiqrey naraaz beitthey heiNmerey alfaaz ki heiraani samajh sako to suno
Amal's
Buhat khub!
Or bhi sunao bl ky sunty raho
Ham hmmatan gosh hain:D
Usne Jab Kaha Mujhse Geet Ek Suna Do Na Sard Hai Faza DIL Ki , Aag Tum Lagado Na, Kiya Haseen Tewar They, Kiya Lateef Jazba Tha Aarzoo thi Hasrat Thi, Hukm Tha Taqazaa Tha Aur Joosh E Masti Main Saaz Le Liya Main Ne Cher Hi Diya Aakhir Naghma E Wafaa Main Ne !!!