Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Mat Poocho Haal Hum Se Dil-E-Beqaraar Ka,
Hum To Woh hain Jo Khud Se Bhi Gham Apna Kehte Nahi.....

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Kia jaaniye wo dil se utar kiun nahee jaata
Gar shaam ka bhoola hai to ghar kiun nahee jaata

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Ajh main tere Tasawur se muskura toh diya
Magar yeh fikr hae kis kis ka DIL jala ho ga

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Bheegi huyi ek shaam ki dheleez pe bethe....
Hum DiL ke sulagne ka sabab soch rahe the...!!!

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Dil ki betaabi ka akhir kahin anjaam to hai
Meri qismat mai nahee deher mai araam to hai

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Naam le le ker na mera sheher ki nazroN mai aa
Mujh se milna hai to mere dil ke sehraaon mai aa

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Lo ab main aankhein band kiye lati hoon , ab tum rukhsat ho....
Dil tu jane kya kehta hai lakin dil ka kaya kehna !~

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Sham hote hi charaghon ko bujha deta hoon
Dil hi kaafi hai teri yaad mai jalne ke liye

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Tere mathye ki shikan pehley bi dekhi thi magar
YEH GIRHA AB K MERE dil MEIN PARI HO JAISEY

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

taRapti deikhta hooN jab koi shaey
utha leita hooN apna dil samajh kar

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Thanx goodnews :~)

Neik kaam meiN deir nahi karni chahiye na :~)

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil


zakham yuuN muskuRa k khiltey haiN
jesay wo **dil **ko cho k guzaray haiN

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Ronj O Ghum , Dard O Alam , yaas , taman'na , Hasrat
Ek tayri Yaad K Honay Say Hay Kiya Kiya DIL Main

.............................................................

RoshNi Kay liay DIL Jalana Parra
Aisi Zulmat BArrhi Tayray Jaanay kay baad



Raaz e DIl Kis Say Kahoon Hazrat e Nasih Kahia'ay
Jo Mayray Dost Hain Kiya Ghair Kay Ahbaab Naheen 

_________________________________________

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Dil tou kehta hey zamaaney sey chuhpa looN tujhko
Dil ki dharkan ki tarha Dil mein basaa looN tujhko
koii ehsaas na rahey hey judaa mujhsey

oh yeah agey bhool geya hey kisi ko ata ho tou bata dey:blush:

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Mujhy bhi na hi ata :smiley: bl ky adh abhol ahoa kuch mujhy bhi yad a rha hy,
Zabt kehta hy khamoshi sy bsr ho jay
Dil ki yeh zid hy ky zmany ko khabar ho jay:) (G)

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Dard-e-dil paas-e-vafa jazba-e-imaan hona
Aadmiyat yahi hai aur yahi insaan hona
**
Hai mera zabt-e-junuun josh-e-junuun se badhkar
Nang hai mere liye chaak garebaan hona **

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,
Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Dil **ne vafa ke naam par kaar-e-jafa nahin kiya
Khud ko halaak kar liya khud ko fida nahin kiya
**

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Ab Jis Ko Chaa'hiay Wahee Pa'ey Roshni
Hum Nay Tou DIL Jala K Sar-e-Aam rakhdiya

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

'Dil' Dharaknay Ka Sabab Yaad Aaya
Wo Teri Yaad Thi Abb Yaad Aaya