| **Unwaan:** **Dil......(Heart)**
-----------------------------------------------------------------------
**Saabqa unwaan:** [Raat](http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=243692), [Shaam](http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=244500), [Zindghi](http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=243692), [Chaand](http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=246109), [Gulaab](http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=246849), [An'nkhaiN](http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=248717),Mohabbat
PS: Barah-e-meherbani poori ghazal post karney sey ijtinaab kijeeye. Shukriya | |
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
kis shay ki tujhay hawas hai aiy dil
qudrat teRi hum nafas hai aiy dil
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
jala hia*** dil*** jahaN jisam bhi jal gay'aa hota
kaRaidtey ho ab jo raakh justaju kia hia
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
**dil **tu apNa audaas hia nasiR
shahar keoN saa'eiN saaieN karta hai
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
yehi **dil **tha k taRasta tha maRasam k lee'ay
ab yehi taRak-e-taulaq k bahaNay maangay
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
husan ka ganj-e-gaRaaN maya tujhay mil jata
tu ne faRhad na khoda kabhi waiRana-e-dil
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
bazam-e-hasti maiN hai sab ko mehfil aaRaa'ee pasand
hai dil-e-shaa'eR ko lakiN kanj-e-tanhaa'ee pasand
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
koi hamsafaR nahi hai koi raazdaa'N nahi hai
faqat aik dil tha apna so wo mehaRban nahi hai
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
**dil **se dhaRkaN khuuN se azm-e-safaR le jaayegaa
vaqt ik din chiin kar saare hunaR ley jaayegaa
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
**dil **ne vafaa ke naam paR kaaR-e-jafaa nahiN kiyaa
khud ko halaak kaR liyaa Khud ko fidaa nahiN kiyaa
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
dil meiN ab dard-e-muhabat ke sivaa kuchh bhi nahiN
zindagi meRii ibaadat ke sivaa kuchh bhii nahiN
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
dil ki siyaahiyooN meiN tujhe dhuuNdhataa huaa
palakooN pe aa rukaa hai sitaarooN kaa qaafilaa
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
kateye heye iss gosht keye dil ko herr dem, beye dilee kee seb gheiree chubhen
setcha jaan kerr, setch meye bananeye ja rahi thee wohh uss ke dulhann
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
Sehra ko bohat naaz hay apni virani par **
**daikha nai jo us nay mera ujrha howa DIL
i think i have written it correctly *bummer
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
RanJ KitnA BhI KaraiN UnkA ZamanaY WalaY
JanaY WalaY ToU NaheeN LautT KaR AanaY WalaY
KitnI BayFaiZ Si RaH JaatI HaY** DIL** ki BastI
KitnaY ChuP ChaaP ChalaY JaataY Hain JanaY WalaY
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
Gham e Zindagi teri raah main shab e aarzo teri chah main
Jo ujarr gaya woh basa naheen jo bicharr gaya woh mila naheen
Jo DIL o Nazar Ka suroor tha mayray paas rah kay bhi door tha
Wahi Ek gulaab umeed ka mayrii shaakh e jaan pay khila naheen
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
Unhain apna naheen sakta magar Itna bhi kiya kam hay
Kah kuch muddat haseen khwabvoon main rah kar ji liya main nay
Bas ab tou daman e DIL chorr do baykaar ummeedo !!
Buhat dukh sah li'ay mainay buhat din ji liya mainay
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
Jano gi kuch hamry liye bhi chor diya karay ![]()
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
woh boli: dil main koi besabab sa khoof rahta hai
main bola: ishq to be-baaq logo ka hi shewa hai
Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil
Nahi ab to koi malaal bhi , kisi wapsi ka khayaal bhi
gham-e-bekasi nay mita diya merey dil mein tha agar koi
tujhay kya khabar kay raat bhar tujhey dekh paney ko ik nazar
raha saath chand kay muntazir teri khirkhiyoo'n kay idher koi