Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

ye kis khalish nay phir is* dil* maiN aashiyana kiya
phir aaj kis nay suKhan ham say GHaibaana kiya

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

<center

ab FARAZ apnay maseeha say umeed na rakh
wo tang-dil hai aur teray zakham main hai ghera'ee bhut

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

hamara **dil **saveirey ka sunehra jaam ho jaa'ey
chiragooN ki tarhan ankheiN jaleiN jab sham ho ja'ey
samandar k safar main is tarhan awaaz de hum ko
hawayaiN taiz houn our kashti'youn maiN sham ho ja'ey

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

manzil-e-janan ko jab ye dil tha rawan dosto
tumko main kaise baataon kiya saman tha dosto

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

kaagzi phool se khushboo k khizanay maa'gay
dil hai khush faham bahlnay ko bahanay maa'gay
hum tu taabeer gazeeda haiN daray jatey haiN
aankh ko kia hai wo khawab puranay maa'gay

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

*
abhi rah maiN kaa'ee more haiN koi aa'ey gha koi jaa'ey gha
tumhaiN jis ne dil se bhula deeya usay bhoolnay ki dua karo
mujhay ishtehaar se lagti haiN ye mohabatooN ki kahani'aaN
jo kaha nahi wo suna karo jo suna nahi wo kaha karo*

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

bahar tu sajaa rakhay haiN khush rang aa'enay
under se magar dil ka sheesha toot'ta raha

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

bhed har dil ka meri jaan chupaya tu ne
mujh ko ehsas ki bhatti main jalaya tu ne
me k marta bhi nahi jeena bhi dushwar hoa
kese majboor ko deewana banaya tu ne !

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

kese mohabat kahan ka ishq, hum per sab kuch roshan tha !
youn he zaraa sa shook hoa tha aaoo dil barbaad kaarain

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

dil ki chotoon ne kabhi chain se rehnay na diya...
jab chali sard hawa main ne tujhy yaad kiya....
is ka rona nahi Q tum ne kiya dil barbad...
is ka gham hai ki bhut dair main barbad kiya...

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

hmmmmmmmmm nice.

"khuda gawah k khushiyaan bohat milli lekin"
' kiya keroon jo udaasi hi DIL k ander hoo..."
"safer say pehlay parekh leenaa humsafar ka khaloos"
"phir aagay apna Mukader hay, Jo mukader Ho"

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Rotey hain dil ke zakham toh hansta koi nahi
itna faida toh humein tanhaiyoun sae hai

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Yoon mehfil main aahain ae dil tu na bhar

Na shikwa kar mehboob se na shikayat kar

Mohabbat main dard sehne ka hai dastoor

Har sitam seh le tu bas khamosh reh kar !!

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Tu hi is jahan main hai meri kainaat, ae mere dil

Khuda ki taraf se mili hai ye saughaat, ae mere dil

Teri ek hansi pe kar doon har khushi niasaar apni

Sang jo guzren, hain anmol wo lamhaat ae mere dil !!

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

dil ajab gumbad ki jis me.n ik kabuutar bhii nahii.n
itanaa viraa.N to murdaaro.n kaa muqaddar bhii nahii.n

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

dil akelaa hai bahut laalaa-e-saharaa kii tarah
tum ne bhii chho.D diyaa hai mujhe duniyaa kii tarah

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Qirya e Jaa'n Main Koi Phool Khilaanay Aa'ey
Woh Mayray** DIL **Pay Naya Zakhm laganay Aa'ey

Parveen shakir

Qurbatoo'n Main Bhee Judai K Zamaanay Maangay
DIL Woh Baymaher K Ronay K Bahanay Maangay

Ahmed Faraz

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

ik pal bhe zindage main aaraam ka na tha
wo dil mujhay mila jo kisi kaam ka na tha

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

Dil bhi bujha ho shaam ki parchaaiyaan bhi hon **
**Mar jaaiye jo ayse mein tanhaaiyaan bhi hon

Re: Mehfil-e-UnwaaN-- Dil

ye bhe kerna para mohabaat main
khud say larna para mohabaat main

khud ba khud hum semat ga'ay dil main
jab bikhranaa para mohabaaat main