Mehfil-e-Sukhanwaraan-e-Gupshup

Iss thread ka kachoomar tu hum aaisa nikalain gay
kay har aik guppy apna sar dhun dalain gay
..:hehe:

Kachoomer nikalna hee hai tu AQ ka nikalaiN
Phir tu hum bhi aap ka khoob saath dain gay

:smokin:

Ap sath daiN gay to kiya nikalaiN gay kachoomar hum
Sidha sadha sara kaam ap hi ko somnp daiN gay

:hehe:

shab-e-tanhaaie maiN milaa thaa mujh ko woh humsafar
jo saath challaa thaa dau qadam, phir dil maiN kuch chubo gayaa

zindagi meri aik khail thee, rahaa woh khush iss khail maiN
iss khail ko maiN haar gayaa, iss khail ko woh jeet gayaa

(Anwaar)

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *
shab-e-tanhaaie maiN milaa thaa mujh ko woh humsafar
jo saath challaa thaa dau qadam, phir dil maiN kuch chubo gayaa

zindagi meri aik khail thee, rahaa woh khush iss khail maiN
iss khail ko maiN haar gayaa, iss khail ko woh jeet gayaa

(Anwaar)
[/QUOTE]

zindegi ko khail semejhenay walay
ab har gaya to rota kion hay

wah wah

acha hay na:D

zindagi kee shab-e-tareek maiN

ANsoo haiN faqat mairay saathee
loug tau samajhtay nahiN aah-O-fighaaN wagarna
ANsoo'ouN nay kursi uss arsh-e-ulaa tuk kee hilaa dee

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *
zindagi kee shab-e-tareek maiN

ANsoo haiN faqat mairay saathee
loug tau samajhtay nahiN aah-O-fighaaN wagarna
ANsoo'ouN nay kursi uss arsh-e-ulaa tuk kee hilaa dee
[/QUOTE]

zaberdest

ab is ki kia tang torhoon main:D

Dekar kaamoshi e dil ko apni zabaaN
Bayan jo kee hum nay dil ki daastaaN

Yahan say kisi ka guzar tu hai hee nahee
Yeh dil tu faqt tera hee tha makaaN

Kis qadar shadeed hain is ki tanhaaiyaaN
Kerta rehta hai akelay maiN aah o fughaaN

KhooN kay aanso tum bhi ro uTho gay
Jo humaree suno gay DaastaaN

BOhat suna lee hum nay apnay dil kee
Is say aagay hota nahee ab kuch BayaaN

aap ki apni hay kia:eek:

:frowning:
Subah Subah baith ker likhee hai…

Jeee haan hamaree hee kaawish thee woh
Ummed hai keh pasand aai ho gee aap ko

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

:(
Subah Subah baith ker likhee hai...

Jeee haan hamaree hee kaawish thee woh
Ummed hai keh pasand aai ho gee aap ko
[/QUOTE]

kia zaberdesh hay aap ki kawish
hamain kion nehi hoti aisi khawahish

[QUOTE]
*Originally posted by smilly: *

kia zaberdesh hay aap ki kawish
hamain kion nehi hoti aisi khawahish
[/QUOTE]

KaawishaiN aur NeeyataiN hee taraqqee kay liay hoti nardbaan haiN
Warna koshish sub hee kertay kaamyaab hotay kuch hee insaan haiN

:)

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

KaawishaiN aur NeeyataiN hee taraqqee kay liay hoti nardbaan haiN
Warna koshish sub hee kertay kaamyaab hotay kuch hee insaan haiN

:)
[/QUOTE]

yeh sara qismet ka khail hay
koi fenkar aur koi razakar hay

yeh kaisa hay:D

[QUOTE]
*Originally posted by smilly: *

yeh sara qismet ka khail hay
koi fenkar aur koi razakar hay

yeh kaisa hay:D
[/QUOTE]

Nice... BOhat acha hai.

Main tu itna janoo Ramadan ka maheena hai
Aur aaj kal hur koi ibadat guzaar hai

:)

Tum paas ho tu ehsaas hee nahee hota tanhaai ka
Duur ho jaao tu dhaRka sa laga rehta hai judaai ka

Saath ho tu manzoor qaid o bund ki saoubataiN bhi
Dil maiN khiyaal hee nahee hota hai rehaai ka

:)

khuda khair keray aaj kal kafi AAmed ho rehi hay:k: :slight_smile:

DEkha hai eik khuaab taabeer ka pata nahee
Mazmoon hai saamnay tehree ka pata nahee

AndheroN main guzar gayee meri sari zindagi
Roshni ki talaash hai tanveer ka pata nahee

oh god meri theeki nazarain lolzz
ap nay mujhey kahan dekhlia or meri theeki nazaroon ko
hmmm tuba tuba kuch tu khuaf e khuda karo azad ramzan ka mahina hai :nono1: achi baat kia karoo waisay meray haal tu theek hain chaal bhi set hai …

“Wo rastay say palta to ruk gaya main bhi
Qadam Qadam na rahay , Safar safar na raha
Nazar say giraya us nay kuch is tarhan
Kay main khud apni nigahon main moatabar na raha.”

yaar aap kii kahaaNi tau kuch milti julti lagtee hai :bummer: LOL :slight_smile:

**
Jiss nay rakhay dil par marham meray kabhi
woh shakhs nishtar chubho jaataa hai aaj
jo tarastaa thaa meri rifaaqat ko kabhi
woh shakhs rishtay toR jaataa hai aaj
zamaanay kay liye hai ab bhi jo aataa thaa nazar kabhi
woh shakhs sirf mujh hee say badal jaata hai aaj
mairay liye duaaieN jo kartaa thaa kabhi
woh shakhs apnay liye bhee duaaieN bhool jaataa hai aaj
**

(Anwaar)
:flower1:

Kaisay hain saray dost ahbab
ummed hai sub hon gay lajawab

duniya main hum nay kia jo intekhaab
woh hum ko mila b'soorat e aap

aapkay zikr ko diya shohra jenab
dijeay duaain hum ko behisaab

.
.
.

Ab hum chalain hua waqt e namaaz
phir baad main paRha hai Allah ki Kitaab (aameen)