Mehfil-e-Sukhanwaraan-e-Gupshup

I cant post my poems here:blush:

mujy sharm ate hai :blush:

To chaddi pharr kar aanay ko kiss nay kaha hay :confused:

:blush:

woh aaieN humaaray dhagay maiN khudaa kee qudrat hai
kabhi hum un ko kabhi apnay dhagay ko dekhta haiN
kay kahiN woh kuch keh naa daiN :halo:

:hehe: :hehe: :hehe:

Or bharam unka toot jay!

JIS NAY KI SHARAM
US K PHOUTAY KARAM

:smiley:

hum tau haiN mashriqi, adaa aisee honi chaahiye:smooth:
sharmaa jaaieN laRRkiyaaN bhee, cheraa laal honaa chaahiye:blush:

:hoonh:

unn kay moonh pay jo ho jati hai noor kee baarish:blush:
youN lagtaa hai, kaRwaa karelaa chabaa rakhaa hai:p

(Adaab arz hai:D)

Karyla chabanay say yaad aya .. Lamhay ka kia haal hay?

Lamhay ki theeki nazron ka haal kia batain
Meetthay paan main jaisay Pata neem ka ajay

(Adab Arz)

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

Karyla chabanay say yaad aya .. Lamhay ka kia haal hay?

Lamhay ki theeki nazron ka haal kia batain
Meetthay paan main jaisay Pata neem ka ajay

(Adab Arz)
[/QUOTE]

Iss bar jo kat kay gira hai eendhan ki gharaz say
Chiryun ko bara pyar tha uss bodhay Neem say..

[QUOTE]
*Originally posted by Philanthrope: *

Iss bar jo kat kay gira hai eendhan ki gharaz say
Chiryun ko bara pyar tha uss bodhay Neem say..
[/QUOTE]

Achaaaa hum to mazaq main uss ko sarra howa karyla keh gay thay ..:D

Chirriyon ki cheknay pe na jaa aay gul e nou-bahar
Samjho to noha ttottay dilon ka sunati hain aada say

(Adab Arz)

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

Achaaaa hum to mazaq main uss ko sarra howa karyla keh gay thay ..:D

Chirriyon ki cheknay pe na jaa aay gul e nou-bahar
Samjho to noha ttottay dilon ka sunati hain aada say

(Adab Arz)
[/QUOTE]

Noha-kunae ka qarb hum say na poochye..
Dil taar taar hota hai tu saaz ubalta hai...

[QUOTE]
*Originally posted by Philanthrope: *

Noha-kunae ka qarb hum say na poochye..
Dil taar taar hota hai tu saaz ubalta hai...

[/QUOTE]

Khuda raa, rukh lo bheeghti palkon ko iqraar meray
Nahi pochain gay phir kabhi haal tera pyaar meray

(Adab Arz)

wah wah wah:rotfl:

Chehray ki surkhi ka mashriqiyat say hai kia talluq
Yeh tu chehray per aa hee jaati hai tujhay dekh ker. :blush:

[QUOTE]
*Originally posted by chodhry: *

umeed ka daman choorney waley ham nahien
tum laakh bhagoo door ham sey
dour mein ham bhi tum sey kam nahien ;)
[/QUOTE]

Ummed ka daman hum nay bhi kabhi choRa tu nahee
Woh aur baat kabhi tu nay bhi hum ko pukara tu nahee

Sirf wah wah hee kerti jayeay ga
Shairi kay johar kab dikhaeay ga :hehe:

Jaab kooch yaad ay ga
post karnay ka mood ho ga
to kaar daiN gay

:hehe:

wah wah na keroon to kia keroon
shairi nehi aatti to kia keroon

iss dhagay kaa janaazaa hai zaraa dhoom say niklay:halo:
qafiyaa, radeef, beh’r wazan, subb kaa yahaaN kachoomar niklay :hoonh: