Mehfil-e-Sukhanwaraan-e-Gupshup

The idea is taken from a conversation between Me and WiseGuy

Rules are simple and easy to follow :~)

  • Reply to any post here must be in poetry format.. No prose:nono4: (koyal:D)

  • Poetry must NOT be of any known poet but is the poetry of the Guppy him/herself :stuck_out_tongue:

  • No derailing of this thread:mad:

  • Humourous poetry is allowed as long as it fits in the conversation and covers all the “adab aadaab” :blush:

I will start something filbadeeh jo aataa hai dimaagh maiN buss likhnay jaa rahaa hooN :~)

**
maiN ik tanhaa musaafir raat kaa
UjaalouN maiN Din kay kho gayaa

Ik phool nay khusbhu lutaaiee
banyaaa deewaanaa mujhay

phir shaam kay aatay aatay
kissi aur kay sar kee zeenat ho gayaa :)**

So what is the point?
I post one of my own poem here?

BTW, very nice poem .:)

Kabhi mai nosh ki tarag kabhi parwanay kia tarah
Zindagi ko gayee hai meri kisi deewanay kia tarah
Kabhi tu apna bhi hosh nahee rehta hai mujhay
Jab ehsaas yeh hota keh tu bhi hogaya begany ki tarah

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Kabhi tu apna bhi hosh nahee rehta hai mujhay
Jab ehsaas yeh hota keh tu bhi hogaya begany ki tarah
[/QUOTE]

Wah wah bohat khoob....:)

Hmm...

Haar rooz teray fone ka intazar karna ya jantay huway bhi kay teray paas waqat hi nahiN hota haar rooz teray khat ka intazar karna ya jantay huway bhi kay Ya janay huway kay tery paas is ka bhi waqat kahaN Rooz tery anay ki tamana karna rasata tera pehrooN dekhna Ya janatay huway bhi kay or bhi to bohat say kaam haiN tumhaiN Ya lambhay or kathan rastooN ko bhoola kay tujhay yaad karna tery anay ki duaiN karna Tujhay chahna ya mantay hua bhi kay tu kabhi nahiN chahay ga humaiN

hummm

Naya zamana nai rawayataiN waqt kis kay paas hai
Phone kerna khat likhna purnay waqto ki baat hai
ab tu Voice chat video chat ki baat kero humsay
Chalo tum ko add kerloo, kia msn tumharay paas hai? :wink:

:hehe:

kesay muj ko add karo gaye msn na meray pass hai
GS pe a k pm karo k aj dil mera bohat udass hia..:wink:

chodhry hay, yeh sooch key aurun ki terhah der na jana
chalo mujh ko bhi add ker lo, msn merey bhi paas hai :wink:

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

kesay muj ko add karo gaye msn na meray pass hai
GS pe a k pm karo k aj dil mera bohat udass hia..;)
[/QUOTE]

apni ik hi pm sey terey udaas dil ko khushi mil jaye gi ;)
keisey pm per tujh ko kerien bhara hova teira inbox hai

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

kesay muj ko add karo gaye msn na meray pass hai
GS pe a k pm karo k aj dil mera bohat udass hia..;)
[/QUOTE]

Udaasi e taba ka kuch kertay hain saamaan
Mehfil hum sajatay khushiyaan tum bikhrati raho
Kuch tum apni kaho kuch hamari suno
Hum tum ko dekha karaiN aur tum muskurati raho :)

:k:

[QUOTE]
*Originally posted by chodhry: *

apni ik hi pm sey terey udaas dil ko khushi mil jaye gi ;)
keisey pm per tujh ko kerien bhara hova teira inbox hai
[/QUOTE]

Umeed ka daman haath say na choRna ay dost
aap ki majboori ka hamain bhi shiddat say ehsas hai.

‘TheNgaa’ dikhanay say aap kaa jawaab manaa naa jaye gaa
kuch hum kahaiN, kuch tum kaho, mozu-e-sukhan milta jaye gaa :stuck_out_tongue:

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *
'TheNgaa' dikhanay say aap kaa jawaab manaa naa jaye gaa
kuch hum kahaiN, kuch tum kaho, mozu-e-sukhan milta jaye gaa :p
[/QUOTE]

Du chaar qadam chal ker saath choR na jana
Jab ehad bandha tu paimaan bhi nibhana

:rolleyes: yaha kya horaha hai :rolleyes:

Yahan baRay baRay adeeb qudoom e maimenat luzzom haiN.

Shairi ki koshish kee jaa rahee hai
“gar qabool ufftad e izz o sharaf” :slight_smile:

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Umeed ka daman haath say na choRna ay dost
aap ki majboori ka hamain bhi shiddat say ehsas hai.
[/QUOTE]

umeed ka daman choorney waley ham nahien
tum laakh bhagoo door ham sey
dour mein ham bhi tum sey kam nahien ;)

tum laakh pachtayoo, ham laakh jalien :bummer:
dil milney ka koi sabab shayed ab na ho paye ga

kiyon kar momkin hay yeh dagh e dil mitt pay ga
Eik nagah e naaz ka assar kahan tak jay ga

(Adab Arz)