Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


jab koi kali sehaN-e-gulistaa'N maiN khili hai
shabnum meRi **aa'nkhooN **maiN wohi taiR gaa'ee hai

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


terI **aa'nkhooN **k siwa dunia maiN rakha kia
ye uthaiN subha dhlay ye jhukhaiN shaam dhalay

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

meiN us ki sookhi hui ***aaNkhoN ***pe kya yaqeeN karta! meiN ne thehrey huwey paani meiN bhaNwar deikhey heiN

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


soocha tu mera akas tha*** aa'nkhooN*** maiN tumhaRi
dekha tu bohat khaali nazaR aa'eiN wo jheelaiN

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


haR koi ro k dikhaay ye zoRori tu nahi
kuch aankhooN main bhi sailaab howa kaRtey haiN

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

jub say daykhee heiN wo bheeghee hoee ***aa'nkhaiN*** akhter hunstay chehrooR peR bhe roonay ka gumaa'N hota hai

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


**aa'nkhooN **maiN koi khawab utaRnay nahi daita
ye dil k mujhay chay'N se maRnay nahi daita
wo shakas khizaa'n ruut maiN b muhtaat rahay kitna
sookhay huwey phoolooN ko bikhaRnay nahi daita

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


tumharay badh har manzar mujhay bayrung lagta hai
ye ankhain cheen lou ya apni benaye mujhay day dou

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


neend apni ankh say rukhsat bhi hokar rah gaye
khwaab jasi khwab ki rahat bhi hokar rah gaye
hijar bhi tera tha jaan lewa meray dil kaliye
ek azaab-e-jaan teri qurbat bhi hokar rah gaye

Re: Mefile-e-UnwaaN…Aa’nkhaiN

Yahi samajh lo :jano:

Abhi tou mil kay chaltay hain samandar ki musafat main
Phir is kay baa’d daykjhain gey kinaraa kaun karta hay
Ghatta’ain kaun lata hay Mayri **Aankhoo’n **kay mausam main
Phir is kay baa’d baarishoo’n ka nazaara kaun karta hay

:blush:

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


teRi yaad vird-e-zubaan huwi to ajab rung dekha gaye
kabhi ashQ ankh maiN agaye kabhi aa'h dil main sama gaye

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

chhup ke rotaa hoon teri yaad mein duniya bhar se
kab meri aankh se barasaat nahin hoti hai

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

jahaan-e-ishq mein sohani kahin dikhaai dey
ham apani aankh mein kitney chenaab rakhate hain<!-- / message -->

Re: Mefile-e-UnwaaN…Aa’nkhaiN

Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna

:halo:

Re: Mefile-e-UnwaaN…Aa’nkhaiN

Na dekha karo tum humain, teerchhi nazaro'n say is tarah ke jaan jaati hai jism say, neend aankhon se jis tarah

:halo:
:blush:

Re: Mefile-e-UnwaaN…Aa’nkhaiN

Youn dil ko har ek shaks par wara nahi karte aankhon main har ek aqs utara nahi kartay honi hai to ek baar hi ho jaye mohabbat Yeah bhool hai aisi kay dobara nahi kartay

:hehe:

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Aankhain jhuka aur bhol ja, aysy kay jaysy kuch na hua
Sab kuch wohi hai vaisa he hai, mery na hony say hota hai kya

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gaie jab say
Koi bhi lafz likhta hoon tu ankhain bheg jati hain

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Hazaroon mousam'on ki hukmurani hai meray dil per
Wasi mein jab bhi hansta hoon tu ankhain bheg jati hain

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


ye meri kitaab-e-hyaat hai isay dil ki ankh say parh zara
mai warq warq teray samnay, teray rubaro , teray pass hou