Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Us kia **aa'nkhon **ko kabhi ghour say daikha hai Faraz
Sonay waloun ki tarah,jagnay walon jaisee

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


koi dhundhla saa ik chehRa meRi aa'nkhooN maiN rahta hai
koi bhatka sa ik jugno meRay khawboon maiN rahta hai
ikk maa'noos see awaaz mujhay sonay nahi daiti
koi uljha saa ik jumla meRi yaadooN maiN rahta hai

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

**Aankhoon **main raha dil main utar kar naheen daykha
Kashti kay musaafir nay samandar naheen daykha
Pat'thar mujhay kahta hay mayra chahnay walaa
Main moom hoon us nay mujhay choo kar naheen daykha

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


yehi nahi hia k aa'nsoo sumait laa'ya hoN
maiN us ki* aa'nkh* ki khushboo sumait laa'ya hooN

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

one of ma fav ye tu me karnay wali thei Pk :(

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen

Re: Mefile-e-UnwaaN…Aa’nkhaiN

hmm Ankhain :konfused:

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


Us Ki Aankhon Ko Kabhii Ghor Se Dekha He Faraz
Sone Walon Ki Terha Jaagne Walon Jasi

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


Hazaro'n mausumo'n ki hukumrani hai meray dil per
"Wasi" Main jab b hunsta hoon to ankhyen bheeg jati hain

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


tu bhi dil ko ek laho ki boond samjha hai faraq
ankh agar hoti to katray mai samandar dekhta

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


Jab say dekhi hain woh bheegi howi ankhyai'n "Akhter"
Hunstay chehro'n pay bhi ronay ka gumaa'n hota hai

Re: Mefile-e-UnwaaN…Aa’nkhaiN

:clown:

Jhukain tou lala O gul hain hijaab si Aankhain
Utthain tou aag laga dain sharab si Aankhain
Yeh Mukhtasir mayri barbadiyaoon ka qissa hay
Tabah kar ga’een khana kharaab si Aankhain

Re: Mefile-e-UnwaaN…Aa’nkhaiN

kia ye nikami k leay likha hia PK:blush:

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


hamaRa dil sawaiRaey ka sunehRi jaam ho jaa'ey
chiraagooN ki taRha aa'nkhaiN jalaiN jab shaam ho jaa'ey
samandaR k safaR maiN is taRha awaaz day hum ko
hawaa'eaiN taiz ho auR kashtiooN maiN shaam ho jaa'ey

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

tum merii aaNkh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aa_uu'Ngaa

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

aa'NkhooN meiN bas ke dil meiN samaa kaR chale gaye
Khvaabidaa zindagii thii jagaa kar chale gaye

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


aaNkhoN se ponchane se lagaa aaNch kaa pataa
yuuN chehraa pheR lene se chhupata nahiN dhuaa'N

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


kabhi yuuN bhi aa meRi aa'nkh maiN k meRi nazaR ko khabaR na hoo
mujhay aik raat nawaaz day phiR us k baad sehaR na ho

Re: Mefile-e-UnwaaN…Aa’nkhaiN

Subhan ALLAH bohat umda collection ev1 :k:
shukar hai k unwaan change hua :hehe:

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

***Youn dil ko har aik shakhs per wara nahi karte
Aankho'n may har aik aks utara nahi karte