Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


mai udasiya'n na saja sakhoo'n kabhi jism-o-jaan kay mizaar par
na diye jalai'n meri ankh mai mujhay itni sakht saza na day

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


udaas ankhoo'n say ansoo nahi nikaltay hain
ye motioo'n ki tarha sipioo'n mai paltay hain

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

v nice:)

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

samandaR maiN utaRta hooN to *aankhaiN* bheeg jati haiN teRi aankhoN ko paRhta hooN to *aankhaiN* bheeg jati hain tumhaRa naam likhnay ki ijaazat chin gai jab se koi bhi lafz likhtaa hoon to *aankhaiN* bheeg jati haiN

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


tumhaRi khushk se **aa'nkahiN **bhali nahi lagtieN
wo saaRi baataiN tum ko jo rulaa'eiN bahji haiN

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Sirf Haathoo'n ko na daykho kabhi **Aanhain **bhi Parrho
Kuch sawaali barray khud'daar hovaa kartay hain

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


mai kub say ankh mai ansoo sajaye phirta ho
suna tha us ko nageenoo'n ki justaju hai bohat

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


ab to ankhoo'n mai utar aye hain dil ki wehshatai'n
ai'na dekho to apnay ap say dar jaoo mai
kuch bata aye ratoo'n ki dhundali chandani!
bholnay walay ko akhir kis tarha yaad aoo main?

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


mujheY apne zabt pay naaz tha sar-e-bazm raat ye kia howa
meri aankh kaisay chalak gayii hei ye ghum bura howa

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Beautiful *

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Barish ka ik qatra aa kar
meri palak say ulaja
ayr** ankhoon** mein dhoob gaya

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Mula __ tuj say aaj ke shab
bas aik dua hay __ aik dua
bay-shak meri ankhoo ke qandil na qaiem rakhna
liken is k khawab ka roshan diya salamat rakhna

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

ishq karnay kay bhi kuch aa-daab hotay hain
khuli ankhoun main bhi kuch khuwab hotay hain
har koi roo kay de-khaie yeh zarore to nahi
khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

aankhoan main numee, hansee luboan pe
kia haal hey kia dikhaa rahay ho
tum itna jo muskura rahay ho
kia ghum hey jisko chupa rahay ho

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

tu badalta hai toh baysaakhta meri ankhain...
apnay hathon ki lakeeron say ulujh jati hain

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

wo ke rahi thi aankhen nahi samandar hai.
aur main doob gaya un main aitebar karte hoe.

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Mujhay Aksart Sitaroo'n Say Yahi Aawaaz Aaati Hay
Kissi K Hijr Main Needain Ganvaa Kar Kuch Naheen Milta
Jigar Hojaiga Chalni Yeh **Aankhain **Khoon ro'aingee
Wasi Bayfaiz Logoo'n Say Nibhaa Kar Kuch Naheen Milta

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Dekh lena hamari aankhon ko
dill ko lekin .. aseer matt karna !!

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

najanay woh kahan hain , jin ki khatir
kinaray **aankh **k namm ho rahay hain ..!!

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

meri **aankhon **k jadu say shayed tum na-waqif ho
jis pay mujh ko pyar aajaye ..us ko paagal kar deta hoon

chor k mujh ko janay wala ,, ik din wapas aaye ga
daain baain aag laga k .. agay jangal kar deta hoon !!