Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Unwaan: Aa’nkhaiN…
Saabqa unwaan: Raat, Shaam, Zindghi, Chaand, Gulaab

PS: Barah-e-meherbani poori ghazal post karney sey ijtinaab kareiN.
*** **Agar aap ke paas deeye gaey unwaan sey mutaaliq kai aashaar heiN to unhey alag, alag post kareiN ta ke infiraadiyat bhi barqaraar rahey aur parrhney meiN bhi lutf aey.

Shukriya

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Aankh jo kuch dekhti hai Lub pe aa saktaa naheeN
Mehv-e-Hairat hooN kaY duniyaa kiyaa saY kiya ho jaaye gee

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

AaNkh waqf-e-deed thee, Lub maaiL-e-guftaar thaa
Dil naa thaa, meraa saraapaa zoq-e-istafsaar thaa

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

**Ashk aa.Nkho.n me.n kab nahii.n aata lahuu aataa hai jab nahii.n aataa**

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Na kisii ki aankh ka noor huun na kisi ke dil ka qaraar huun
jo bigarh gaya woh naseeb huun jo ujarh gaya woh deyar huun

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

DunyaA TayrI TalaasH MaiN DiL Tak PohancH Ga'eE
Aankhoo'N MaiN TayraY Naqsh E QadaM DaykhtaY HovaY

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Ultee hi chaal chaltey hain dewaney ishq key
aankhon ko band kartey hain deedaar kay liye

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Ab UssI** AankH **MaiN AansoO HaiN HamaraY Li'aY

JiS NaY HuM Ahl E MuabbaT Ko KhatvaaR KahA

SaaF DiL HaiN AaP Laykin ! YeH ZanaA Tou NaheeN

SaB SaY HanS KaR Na MilA Keeji'aY SoW BaaR KahA

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Yaa rab hujum-e-dard ko de aur wus'ateiN
Daaman to kya abhi meri aankheN bhi nam nahi

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Yoon Mutma'in Hoon Tayray Ghamoon Say Chura k AankH
Jaysay Kay Mayray Kaam Thay Saaray Nimatt Ga'ey
Chahaa Tha Dil Nay Barrh Kar Laga Loon Galay Ussay
Pohancha Main Jab Qareeb Tou Bazoo Simatt Ga'ey

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Qaayam rahi junuN me bhi ek waza-e-ehatyaat
Dil khoon ho gaya hai magar AaNkh nam nahi

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Waqt-e-Rukhsat woh chup Raha Abid
AaNkh maiN phelta gaya kajal

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Kissi kee AaNkh jo Purna'm naheeN hai
naa samjho ussko koi gha'm naheeN hai :)

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

PalkoN ki mundeireiN jo saleeqey sey chuni hoN
chehrey ki kehkashaeiN jo nazaakat sey buni hoN
har roz barri chaahat sey taktey heiN bohat deir
aankheiN wo haseeN tum ney jo deikhi na suni hoN

By: Amal

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Dhanak, ruNg, phool, khushbu, mosam jo suhaanaY niklaY
AaNkh khuli tau inn maiN kitnaY hee fasaanaY niklaY
BY: AQ :D

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Really per lagta tu nahi hia Aymal :p

Beautiful sheR:)

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

Beautiful PK :)

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


*kisi aankh ko sadaa do kisi zulf ko pukaaRo
baRi dhoop par rahi hai koi saayebaa'N nahiN hai *

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN

kuch khoi khoi ankhaiN bhi moajooN k sath thieN
shaa'yad unhaiN baha k koi khawab ley gaya

Re: Mefile-e-UnwaaN...Aa'nkhaiN


hamaRi aa'nkhooN maiN poonam ki raat thehRay ghi
hum na hooN gaiN tu wo kis k saath thehRay ghi