let's translate SIGNS in Urdu, English or Hindi

Re: let’s translate SIGNS in Urdu, English or Hindi

COMMENTS on Participant’s TRANSLATIONS

**u haven’t translated key words in the text and also added some that aren’t even there…:slight_smile:
**

achchhii koshish thii magar unfortunately PRECISE nahiiN hai. :frowning:

**good try…kaafii bahtar hai magar isko thoRaa condensed honaa chaahiye. hai na?
**

aapkaa tarjuma abhi tak sab se bahtar hai magar Centre ka tarjuma exact nahiiN hai…Distribution ka tarjuma aapne nahiiN kiyaa. aapne dusre Half kaa tarjuma kiyaa hai to us pe comment neeche de rahaa huN.

mulaaqaat ka lafz izaafii lagtaa hai…appointment ka saHeeH tarjuma nahiiN hai sorry :frowning:

yeh try aapkii pahle walii se bahtar hai magar abhii bhii kamiyaaN haiN :frowning: jaisa k TLK saaHib ne farmaayaa, ham telephone numbers kaa tarjumah nahiiN karte kiuN k iskii zaroorat nahiiN hai.

bahot achchhaa kiyaa hai tarjuma…good :slight_smile: mulaaqaat tai karne ke alfaaz izaafii lagte haiN…appointment ka tarjuma exact nahiiN hai…

**aap sab Hazraat kaa is thread meN Hissa lene kaa bahot bahot shukria. sabhii ne bharpoor koshish kii…:slight_smile:

meraa maqsad hai k aisii exercises se ham apni urdu ko bahtar banaa sakte haiN…is taraH kii mashq se naye naye alfaaz aur saHeeH tarjuma kii technique samajh aane lagtii hai :)**