Re: Lafzi Bait Bazi
YaadoN ka aik shor tha raston mein har taraf
Hum aik bhi pal dasht mein tanha nahi rahy
Re: Lafzi Bait Bazi
YaadoN ka aik shor tha raston mein har taraf
Hum aik bhi pal dasht mein tanha nahi rahy
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
Woh mera hai mera tha mera rahy gaa !!!!!
Hum nay is khayal say khood ko behlaya bohat
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
Tujh ko tanha kar gaya munfarid rehne ka shoq
Ab akely baith ker yaadon ke manzar dekhna
Re: Lafzi Bait Bazi
High Tech dear what word are you usin from last shair?
Re: Lafzi Bait Bazi
kab yad mai tara sath nain kab hath main tara hath nahi
sad shukar kay apni raato mai hijar ki koi raat nain
Re: Lafzi Bait Bazi
**hijar **mein khun rulatye ho kahaan hotye ho
loot kar kyun nehi atye kahaan hotye ho
Re: Lafzi Bait Bazi
**Pathar mujhey kehta hai mera chahney wala*
main mom hoon us ney mujhey ChOO kar nahi dekha*
Re: Lafzi Bait Bazi
har lafz kitabooN maiN tera aks liye hoey
aik chand sa chehra hay jo paRhnay nahi deta
Re: Lafzi Bait Bazi
Main Lafz Lafz Dhoond'tay Thak Bhi Gaya Adeem
Wo Phool De Ke Baat Ka Izhaar Ker Gaya
Re: Lafzi Bait Bazi
Baat bay** baat** rulanay walay
kesay zalim hain zamanay walay
kitna khush hoon main kai haftoon say
hain kahan muhj ko satanay walay
Re: Lafzi Bait Bazi
Hain Kawakib Kuch Nazar Aatay Hain Kuch
Detay Hain Dhoka Ye Baazi'ger Khullaa
Re: Lafzi Bait Bazi
main us k dil main jo utra to yeh khulla mujh per
wo raasta bhe to maktaal ko janay wala thaa
Re: Lafzi Bait Bazi
main us k dil main jo utra to yeh khulla mujh per wo raasta bhe to maktaal ko janay wala thaa
ye kis ne hum se lahoo ka kharaj phir manga
abhi to soye thay maqtal ko surkh roo kar ke
Re: Lafzi Bait Bazi
Pehle Meri Rug Rug Se Lahuu Nichor uss Ne
Phir Wo Kehta Hai Ke Rungat He Teri Peeli Hai
Re: Lafzi Bait Bazi
dil ke har** rag** nechoor layta hai
ishq main yeh bare museebat hai
Re: Lafzi Bait Bazi
mere hum nafas mere ham nawa mujhay dost ban ke dagha na de
main hoon dard-e-ishq se jan ba lab mujhay zindagi ki dua na de
Re: Lafzi Bait Bazi
Meray liay to sans bhe layna muhaal tha
Yeh kon zindage ke dua day gaya mujhay
Re: Lafzi Bait Bazi
tera hi aks ubharta raha lakeeron main
uthaye haath jo main ne kabhi dua ke liye