Re: Lafzi Bait Bazi
aayeh hath uthein hum bhi
hum jinhein rusm-e **du'aa **yaad nahin
hum jinhein soz-e muhabat ke siwa
koi buth, koi khuda yaad nahin
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
mohabbat **kii tabiyat me.n ajab takaraar kii Khuu hai
ke ye iqraar ke lafzo.n ko sunane se nahii.n thakatii
bichha.Dane kii gha.Dii ho yaa ko_ii milane kii sa'at ho
ise bas ek hii dhun hai
kaho mujh se **mohabbat **hai
kaho mujh se **mohabbat hai
Re: Lafzi Bait Bazi
:(
Re: Lafzi Bait Bazi
chlaiey aik sheR likh daiti is k muqablaY maiN :p
meiN apnay paya'aR ka izhaE tum say kesey karo'N
wo*** lafz*** kesey trasho'N jo tum ko batlaai'eN
kahaN say dhond k laao'n, abhi baney he nahi
wo aayney Jo tumheiN merey khuwab dikhlai'n...!!!
Re: Lafzi Bait Bazi
:(
keoN kia hua ap k leay itna wadee'ya sheR likha cheer up :)
Re: Lafzi Bait Bazi
keoN kia hua ap k leay itna wadee'ya sheR likha cheer up :)
:)
Re: Lafzi Bait Bazi
tum ho naa_Khush to yahaa.N kaun hai Khush phir bhi 'Faraz'
log rahate hai.n isii shahar-e-dil-e-aazaar ke biich
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
kahtay hai ishq nam kay guzray hein aik buzrg
hum logh bhi mureed usi silsilay kay hein
Re: Lafzi Bait Bazi
tere Khushbuu me.n base Khat mai.n jalaataa kaise
jin ko duniyaa kii nigaaho.n se chhupaaye rakhaa
jin ko ik umr kaleje se lagaaye rakhaa
diin jin ko, jinhe.n iimaan banaaye rakhaa
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
jin kaa har lafz mujhe yaad tha paanii kii tarah
yaad the mujh ko jo paiGaam-e-zubaanii kii tarah
mujh ko pyaare the jo anmol nishaanii kii tarah
tuune duniyaa kii nigaaho.n se jo bachakar likhe
Re: Lafzi Bait Bazi
tumahari *y*aad **K lamhay baRe dilchasp hote haiN
bas Itni de'eR tak ehsaas-e-tanhai nahiN hota
<!-- google_ad_section_end -->
Re: Lafzi Bait Bazi
Yaad-e-Maazi Azaab hai Ya'Rub
Chheen Le Mujh Se Hafiza Mera
Re: Lafzi Bait Bazi
ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aa.Nkhe.n sach bolatii hai.n pyaar chupaayaa na karo
log har baat kaa afsaana banaa lete hai.n
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo
Re: Lafzi Bait Bazi
Sirf Hathon Ko Na Dekho Kabhi Ankhain Bhi Parho
Kuch Sawaali Baray Khud'daar Hua Kertay Hain
Re: Lafzi Bait Bazi
Khuddar itanii fitarat-e-rindaa.N naa chaahiye
saaqii ye Khud kahe tujhe paimaanaa chaahiye
:)
Re: Lafzi Bait Bazi
ye ajab khail hai pyar ka mane ap dekha ye mojza
woh jo lafz meray gumaa'n mai thay woh teri zubaan par agaye
Re: Lafzi Bait Bazi
khuwab lafzooN maiN dhal nahi saktay
kaash aaNkhhaiN paRha karay koi
loog taskheer ho bhi saktay haiN
lafz dil say ada karay koi
<!-- google_ad_section_end -->