Re: Lafzi Bait Bazi
Dard-e-Dil Ke Wastay Paida Kia Insaan Ko
Warna Ta'at Ke Leay Kuch Kam Na Thay Ker-o-Bayaan
Re: Lafzi Bait Bazi
Dard-e-Dil Ke Wastay Paida Kia Insaan Ko
Warna Ta'at Ke Leay Kuch Kam Na Thay Ker-o-Bayaan
Re: Lafzi Bait Bazi
Dil Woh Ghareeb e Shaher e Wafa Hay ke Ab Jissay
Tayray Qareeb Rah Kay Bhee Tayree Talaash Hay
Re: Lafzi Bait Bazi
Itnay Qareeb Ho Gaye Itnay Raqeeb Ho Gaye
Tu Bhi Adeem Darr Gaya Hum Bhi Adeem Darr Gaye
Re: Lafzi Bait Bazi
Wafaa Kay **Hum **Tou Pujari Hain Woh Naheen Tou Kiya
Humain Tou Apnee Wafaa Ka Khayal Hona Hay
Re: Lafzi Bait Bazi
Usay Apni Farda Ki Fikr Thee Wo Jo Mera Waqif-e-Haal Tha
Wo Jo Uski Subh-e-Urooj Thee Wohi Mera Waqt-e-Zawaal Tha
Re: Lafzi Bait Bazi
Lo Bujh Gayaa Kissee Ki Taman'na Liay Hovay
Woh Dil Jis Peh Kaun o Makaa'n Ko Gharoor Thaa
Re: Lafzi Bait Bazi
Wo Dil He Kia Teray Milnay Ki Jo Dua Na Karay
Main Tujh Ko Bhool Ke Zinda Rahoon Khuda Na Karay
Re: Lafzi Bait Bazi
Andhiray Rastoon Mein Taree ankhain yun Chamaktee Hain
Khudaa Ki Barkatain Jaisay Paharon pay Utaartee Hain
Re: Lafzi Bait Bazi
Andhiray Rastoon Mein Taree ankhain yun Chamaktee Hain Khudaa Ki Barkatain Jaisay Paharon pay Utaartee Hain
khuda wo waqt na laye ke saugwar ho tu
sakoon ki neend bhi tujh per haram ho jaye
Re: Lafzi Bait Bazi
Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahay Samnay Aur Dikhaii Na De
Re: Lafzi Bait Bazi
Yeh Alag Baat Tum Say Judaa Ho Naheen Sakta
Jo Kuch Bhi Hay Bo't Mayra** Khudaa** Ho Naheen Sakta
Jis Shakhs Nay Chand Lamhay Guzaray Hain Mayray Saath
Woh Shakhs Kabhee Mujh Say Khafaa Ho Naheen Sakta
Re: Lafzi Bait Bazi
Khuda Hum Ko Aise Khudai Na De
Ke Apne Siwa Kuch Dikhai Na De
Re: Lafzi Bait Bazi
Ghum Yeh Naheen Keh HUM Ko Zamana Bura Mila
Ghum Tou Yeh Hay K Aisay Zamanay Ko Hum Milay
Re: Lafzi Bait Bazi
Zamana Hum Ne Dekha Hai Ye Dunya Dekhi Bhali Hai
Na Koi Khush-o-Khurrum Hai Na Koi Gham Se Khali Hai
Re: Lafzi Bait Bazi
kya Khabar thi k maiN is darjaa badal jaa'uuNgaa
tujh ko kho duu'Ngaa tere Gam se sambhal jaa'uuNgaa
Re: Lafzi Bait Bazi
Gham-e-Duniya bhi Gham-e-yaar mei shamil kar lo
Nasha barhta hai sharabain jo sharabon mei milain
Re: Lafzi Bait Bazi
Gaye mousam mei jo khiltay thay gulabooN ki tarha
Dil par utray gay wohi khuwaaB aza'bon ki tarhA
Rakh kay dheer par aB raat basar karni hai
Jal chukay haiN meray khemay, meray khuwaboon ki tarha
Re: Lafzi Bait Bazi
Yunhi Mousam ki adaa dekh ke yaad aya hai
Kis qadar jald badal jaty hain insaan Jaanaa
Re: Lafzi Bait Bazi