Lafzi Bait Bazi

:salam:

hope every1 is doing great. I’m going to start this new BaitBazi. its totally different than what we usually do here. in this bait bazi you can use any word of last shair to start new one.

hum dua likhtay rahay woh dagha parhtay rahay
ek nuqtay nay hamay meharam say na Mujrim bana diya

Re: Lafzi Bait Bazi

hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahii.n **
**mere naGmaat ko a.ndaaz-e-navaa yaad nahii.n

Re: Lafzi Bait Bazi


Teri yaad vird-e-zubaaN huwi to ajab rung dekha gaye
Kabhi ashQ ankh maiN agaye kabhi a'h dil main sama gaye

Re: Lafzi Bait Bazi

youn akaylay main usay ehd-e-wafa yaad aa'ay
jaisay banday ko museebat main khuda yaad aa'ay

Re: Lafzi Bait Bazi


khuda ki basti main har qadam par, koi hai giriya kisi kay gham par
ye dard to dard mushtarik hai, ye ankh purnam kaha nahi hai,

Re: Lafzi Bait Bazi

aa jaoo gaay halaat ke zad main jo kisi din
ho ja'ay ga maloom , khuda hai kay nahi hai

Re: Lafzi Bait Bazi


mushkil to nahi tark-e-ta'al'luq ka fesla
aey dil mgar sawal teri zindagi ka hay

Re: Lafzi Bait Bazi

tu hai har'jaai to apna bhe yeh he tour sahe tu **nahin **aur sahee, aur nahin aur sahee *

Re: Lafzi Bait Bazi


tu badalta hai to besakhta mere ankhain
apni hathon ki lakeeron say ulajh jati hain

Re: Lafzi Bait Bazi

apnay hathon ki lakeeron main basa le mujhko main hoon tera to naseeb apna bana le mujhko *

Re: Lafzi Bait Bazi

Lakeero'n ko lakreero'n ka he darja do to acha hai
Lakeeroo'n main muqadar daykhna acha nahi hota

:D

Re: Lafzi Bait Bazi


meri talab tha aik shakhs, woh jou nahi mila tou phir
haath dua sai yoon gira, bhool gia sawal bhi.

Re: Lafzi Bait Bazi

khaa kar zaKhm duaa di ham ne
bas yuu.N umr bitaa dii ham ne

Re: Lafzi Bait Bazi

umr-e-draaz mang kar laye thay char din do arzo mai kut gaye do intazaar main :bummer:

Re: Lafzi Bait Bazi

marnay ke baad bhi meri ankhain khuli rahin
aadat padi hui thi tere intezar ki
*

Re: Lafzi Bait Bazi


marnay ka teray gham mai irada bhi nahi hai
hai ishq magar itna ziyda bhi nahi hai

Re: Lafzi Bait Bazi


koi samjay tu aik baat kahooN
**ishq **toafeeq hai gunhaa nahi

Re: Lafzi Bait Bazi

ye ajeeb khail hai ishq ka mane ap dekha ye mojza
woh jo lafz meray gumaa'n mai thay woh teri zubaa'n par agaye

Re: Lafzi Bait Bazi


meiN*** lafz lafz*** dhond ke thak bhe gay'aa adam
woh phool dey ke baat ka izhaaR kar gay'aa

Re: Lafzi Bait Bazi


hum ne sokhay huway pato-n par laho chirka hai
phool a'b bhi na khiltay to qiyamat hoti