Lafzi Bait Bazi

Re: Lafzi Bait Bazi

AankH nam na kar mere dard ki khatir ai mahboob!
Tere ik ansoo per mere hazaar dard qurban hon

Re: Lafzi Bait Bazi

*zabt ka ehd bhe hai shouq ka paimaan bhe hai* *eh'doo pay'maan say guzeR janay ko jee chahta hai* *dard itna hai k heR rugg mein hai mehsheR berpa* *sakoo'n itna k meR janay ko jee chahta hai*

http://www.hallagulla.com/urdu/images/smilies/yahoo/52.gif

Re: Lafzi Bait Bazi

Iss Saadgi Pe Kaun Na **Mer **Jaye Aye Khuda
Lartay Hain Aur Haath Main Talvaar Bhi Nahin

Re: Lafzi Bait Bazi

magHar ae kaash dekheN vo meree pursoz raatoN ko
main jab taaroN pe nazreN gaaDkar aaNsoo bahaataa hooN
maiN shaayar hooN mujhe fitrat ke nazzaaroN se ulfat hai
meraa dil dushman-e-nagHmaa-saraayi ho nahiN saktaa

Re: Lafzi Bait Bazi


Phoolon ko khushboon ko barsaat ko tarsey
Hum sab se ziyada tere us baat ko tarsey
Chandni raat main woh tera Chand sa chehra
Phir na aye Woh** raat** Hum us raat ko tarsey<!-- google_ad_section_end -->

Re: Lafzi Bait Bazi

Beautiful sher BB

Re: Lafzi Bait Bazi

din guzartay hain kahan ,** raat** kahan hote hai
dard kay maroon say yeh baat kahan hote hai

payaar ke aag bana dayte hai jin ko kundan
un kay zehnoo'n main bhala zaat kahan hote hai

Re: Lafzi Bait Bazi

chaa.Nd ke saath ka_ii dard puraane nikale
kitane gam the jo tere gam ke bahaane nikale
fasl-e-gul aa_ii phir ek baar asiiran-e-vafaa
apane Khuun ke dariyaa me.n nahaane nikale

Re: Lafzi Bait Bazi

Shukriya :-)

Re: Lafzi Bait Bazi

pee ja ayam ki talkhi ko hus kay nasir
gham ko sahnay mai bhi qudrat nay maza rakha hai

Re: Lafzi Bait Bazi

**kya maslayhat pasand tha wo aadmee qateel** **majboreoon kaa jis nay *wafa *naam rakh diya**

Re: Lafzi Bait Bazi


Loat Aaye Na Kissi Roz Woh Awara Mizaj
Khol Rakhtey Hain Issi Aas Pe Dar Shaam K Baad

Re: Lafzi Bait Bazi

mein Ney Tanhai Sey Poocha K Milo Gi Kab Tak us Ney Becheni Sey Foran Hi Kaha ***Shaam ***K Baad

Re: Lafzi Bait Bazi

Mohsin Lagi Na Chot Nahi Phir Khuloos Main
Main Ne Kaha Na Tha, Meray Yaar Sochna

Re: Lafzi Bait Bazi

Milla to aur bhe takseem ker gaya mujh ko
Samaytna theen jisay mere kirche'an Mohsin

Re: Lafzi Bait Bazi

vo milla to sadiyon ke baad bhi meray lab pe koi gila na tha
ussay meri chup ne rula diya, jisay guftagoo main kamal tha

Re: Lafzi Bait Bazi

Na'muraadi Ka Yeh Aalam Hay Keh Ab Yaad NaheeN
Tou Bhi Shaamil Tha Kabhi** Mayree** Taman'na'on MaiN

Re: Lafzi Bait Bazi

Ye Aalam Shoq Ka Dekha Na Jaye
Wo Bu'tt Hai Ya Khuda Dekha Na Jaye

Re: Lafzi Bait Bazi

zindagi tujh se har ik sans pe samjhota karon
shoq jeenay ka hai mujh ko magar itna to nahin

Re: Lafzi Bait Bazi

Woh Dard Ki Daulat Jo Tayray Hijr Nay BakhsheE
Main Jism Kay Aa'zaa Main Ussay Baant Raha hoon
Dil Maang Raha Hay Tayree Yaadoo'n Kay Khilonay
Is Tuf'l Ko Laykin !! Main Buhat Daantt Raha HooN