Lafzi Bait Bazi

Re: Lafzi Bait Bazi

Suna Hay Us Ko Mohabbat Duaei'n Deti Hay
Jo Dil Pay Chot To Khaey Magar Gila Na Karay

Re: Lafzi Bait Bazi

Us ki khushi aziz thi kuch us say pyar tha
Apni aana ko tor ker jhukna para mujhay

Re: Lafzi Bait Bazi

jo aag lagayi thi tum ne , uss ko to bujhaya ashkoo'n ne
jo ashkoo'n ne bharkaayi hai, uss aag ko thanda kon karey

Re: Lafzi Bait Bazi

merey haal pe hairat kaisi dard k tanha mousam maiN
pather bhi ro partey hain insaa'N tu phir insaa'N howa

jin **ashkooN *ki pheeki lo ko hum bekaar samajtey they
un *
ashkooN** sey kitna roshan ik tareek makaan howa
<!-- google_ad_section_end -->

Re: Lafzi Bait Bazi

din ajab muthi main jakray howay rakhta hai mujhay
mujh ko is baat ka ehsas howa shaam k baad

Re: Lafzi Bait Bazi

starlight shaaam se pahlay b kuch kar lea karo :p


shaam sey pehley wo mast apni urano meiN rahey
jinkey hathoN meiN they tootey huye par shaam K baad

Re: Lafzi Bait Bazi

Tum Ne Dekha Hai Kabhi Aik Nazar Shaam Ke Baad
Kitnay Sunsaan Se Lagtay Hain Shajar Shaam Ke Baad

Re: Lafzi Bait Bazi

logi sub sham kay badh shoro hogaye hain :chai:

Re: Lafzi Bait Bazi

tu ap swesay wala koi kaam kar dain na :hoonh:

Re: Lafzi Bait Bazi

Shaam hotay he joo kashkool ulaat ker daykha
Itnay sik'kay thay kay logoon nay palat ker daykha

Re: Lafzi Bait Bazi


Wo jo shakhs tha wo kitab tha, so kitab jaisay bikhar gae
Wo jo khwab thay wo azab thay, so azab jaisay thehr gaye

Re: Lafzi Bait Bazi


abhi jugnoo nahi rothey
abhi aa'nso nahi tootay
abhi suraj nahi jaga
abhi taa'ray nahi doobay
abhi mehtaab baq'ee hai
abhi aik khawab ba'qee hai

Re: Lafzi Bait Bazi

Jugnoo Ko Din Ke Waqt Parakhnay Ki Zid Karain
Bachay Hamaray Ehed Ke Chaalaak Ho Gaye

Re: Lafzi Bait Bazi

sadkay ke tarha sar say utara hoa din hai
har din yehe lagta hai, guzara hoa din hai

Re: Lafzi Bait Bazi

Aata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Hua Zamana
Wo Baagh Ki Baharain Chiryon Ka Chehchana

Re: Lafzi Bait Bazi

Zaamana ho gaya ak bohat khod-sar ko samjhatay
pighal ker moom ho jata , agar pather ko samjhatay

Re: Lafzi Bait Bazi


**zamaanaa **aaj nahiN dag'magaa ke chalane kaa
sambhal bhii jaa ki abhii vaqt hai sambhalane kaa

Re: Lafzi Bait Bazi

Tum mujh say bichar kay meri khwahish maiN na rehna
Jab dhoop ko sehna hai to barish maiN na rehna
Sachhai kay rastay main nahiN saiba'aN koi
Chalna hai to phir chao'oN ki khwahish maiN na rehna

Re: Lafzi Bait Bazi

masroof they to ba'rishaiN bey-rung si lagi
*** furset mili to kos-e-kazah dhoondty rahay***

Re: Lafzi Bait Bazi

Fursat Milay To Pooch Kabhi Unn Ka Haal Bhi
Jo Log Jee Rahay Hain Teray Pyar Ke Baghair