Re: Lafzi Bait Bazi
pasndeedgi ka shukria shabo ![]()
Re: Lafzi Bait Bazi
pasndeedgi ka shukria shabo ![]()
Re: Lafzi Bait Bazi
Ujaaley apni yaadoN kay hamaaray saaTH rehnay do
Na'jaanay kis gali maiN zindagi kee SHaam ho jaaey
Re: Lafzi Bait Bazi
Woh ek SHaKHs jis ka saath lamhay BHar ka THa
MaiN os kay waastay kiyoN dil udaas karta hooN?
Re: Lafzi Bait Bazi
KaheeN khoon-e-dil say likha to tha teray sal-e-hijr ka san'ha
** Wo** adhoori diary khoo gai,** wo** najanay kon sa saal tha
Kabhi mousamoN k sarab maiN, kabhi bam-o-dar ky aazab maiN
WahaN umer maiN nay guzar di jahaN sans lena mahal tha
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
Jab tk ji'yay bikhartay rahay toottay rahay
Hum** saans saans** qarz ki soorat ada hoay
Re: Lafzi Bait Bazi
Hum Wo Siaah Naseeb Hain Tariq Ke Sheher Main
Kholain Dukaan Kafn Ki, Log Marna Chhor Dain
Re: Lafzi Bait Bazi
tu intakhaab-e-rang main masroof hai udher
koi teray janoo'n main siaah posh ho gaya
Re: Lafzi Bait Bazi
Khulta Kisi Pe Kion Meray Dil Ka Muam'la
Shero'n Ke Intikhab Ne Ruswa Kia Mujhe
Re: Lafzi Bait Bazi
Koi mousam ho dil main hai tumhari yaad ka mausam
kay badla he nahi jana tumharay baad ka mousam
Re: Lafzi Bait Bazi
Mausam Mausam Aankhon Ko Ek Sapna Yaad Raha
Sadyaa'n Jis Main Simat Gaeen Wo Lamha Yaad Raha
Qaus-e-Qasah Ke Rang Thay Saaray Uss Ke Chehray Pe
Saari Mehfil Phool Gaii, Wo Chehra Yaad Raha
Re: Lafzi Bait Bazi
Zawiya koi muqarar nahiN honay pata
Daimi aik bhi manzer nahiN honay pata
Umer-e-masroof koi lamha fursat ho aata
**MaiN **kabhi khud ko mayaser nahiN honay pata
Re: Lafzi Bait Bazi
Fursat-e-Gunaah Mili Wo Bhi Chaar Din
Dekhay Hain Hum Ne Hoslay Parwar'digaar Ke
Re: Lafzi Bait Bazi
Rang barsaat nay bharay kuch to
Zakhm dil kay hoay haray kuch to
Fursat-e-baykhudi ghaneemat hai
GardishaiN ho gayeeN paray kuch to
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
Rotay hain dil kay zakham to hunsta NEHI koi
Itna to fai'yda mujhay tanhaiyon say hai
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
Wo tarey naseeb ki barishain kisi aur chath par baras gaien
Meray hum nafas mari BAAT sun, usay bhool ja usay bhool ja
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
Meri mohobbat ki itni si kahani hai
Tooti hoi kashti, ruka hoa pani hai
Ek gulaab un ki kitab maiN dam tor chuka hai
Or un ko yaad hi nahiN keh yay kis ki nishani hai