Lafz ba Lafz- Poetry game

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Bana ke sulagtay hue sehra main ek reit ka ghar
phir yun hua wo shaks hawaon ko us ka pata de gaya...

sulagtay***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon
Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon

Tanhayion**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyan
Chun raha hon teri yadon ki sulagati kirchiyan

Sulagti

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Sulagti Soch Ki Basti Mein Ab Basera Hai
Jo Kal Talak Tha Mera, Aaj Se Woh Tera Hai,

Basti**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Dil ki basti ajeeb basti hae, lootney waley ko tarasti hae,
ho qina'at jo zindagi ka usool, tang dasti faraakh dasti hae

Qina'at

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Qinaat????

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

قناعت

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Tu Hi Nadaan Chand Kaliyon Par Qina'at Kar Gya,
Warna Gulshan Mein ilaaj-e-Tangi-e-Daamaan Bhi Hai.

ilaaj

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

tabeebon se kya pochon elaaj-e-dard-e-dil mohsin,
marz jab zindagi khud ho to dawa kesi dua kesi.

Marz

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

poocha jo chaaraager ne ke umr-e-marz hai kya,
woh muskura ke boley k bachpan se ishq hai.

chaaraager

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Charagar haar gaya ho jaise
ab to marna hi dawa ho jaise
mujhse bichRa tha wo pehle bhi magar
ab ke ye zakhm nayho jaise

Dawa

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Na kar aye tabib!! Nakaam koshishain mere dard ko samajhnay ki
Tu pehlay ishq kar, phir chot kha, Phir likh mairay dard ki dawa...

Nakaam ***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain

Hasrat

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

mein tujh ko paaney ki hasrat mein kab tak zillat uthata rahun,
koi aisa de mujh ko dhoka ke meri aas toot jaaye.

dhoka

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Ta'ajub hai ke ishq_o_ashqi se,
Abhi kuch log dhoka kha rahe hain

Ta'ajub

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

*ta'ajjub kia agar rasm-e-vafaa yuuN bhii hai aur yuuN bhii
k husn-o-'ishq kaa har masal'aa yuuN bhii hai aur yuuN bhii
*

masala/masaa'il

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Anna ka Masla darpesh hy, warna Haqeeqat mein
Usay meri, mujhy Us ki, Kami Mehsoos hoti hy...

darpesh***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Haan yaad mujhe tum kar lena, aavaz mujhe tum de lena;
Is rah-e-muhabbat mein koi, darpaish jo mushkil aa jaaye.

aawaaz

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

darpesh ho Taiba kaa safar, to kaisaa lagegaa?
guzre jo vahaN shaam o saHar, to kaisaa lagegaa?

saHar

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Gham-e-hasti ka Asad kis sey ho juzz marg ilaaj
shama har rang mein jalti hai sahar honey tak

shama