Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
Khamosh Lehjay Meray Hamdam Kabhi Bola Nahi Kartay
Dard-O-Gham Ko Her Kisi K Samanay Khola Nahi Kartay
lehjay

**lab-e-Khaamosh se izhaar-e-tamannaa chaahe
baat karane ko bhii tasveer kaa lehjaa chaahe
tasveer**
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
Meri tasveer mein rang aur kisi ka to nahin
gher le mujhko sab aankhen main tamasha to nahin
Tamasha
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
mein intehaa-e-ishq hoon tu intehaa-e-husn
dekhey mujhey key tujh kou tamasha karey koi
intehaa
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
Had E Inteha Se Bohot Aagay Tumhe Chaha Hai
Hum Ne Wafa Se Bohot Aagay Tumhe Chaha Hai
had
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
**dard kii had se guzaranaa to abhii baaqii hai
tuut kar meraa bikharanaa to abhii baaqii hai
bikharanaa**
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
tamaam umr mujhe tootna bikharna thaa
woh mehrbaaN bhi kahaN tak samet-taa mujh kou
mehrbaan
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
Kabi Mehrban Tha To Kbi Anjan Tha
Mera Weham Tha Ya Wo Mera Guman Tha
guman
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
**bhalaa kahaan ke ham aise gumaan vaale hain
hazaar baar ham aayen hamen bulaao bhii
Hazaar**
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
Kuch Galtia Kuch Baatain Hazaar Ho Gai
Meray Mehbob Ki Muj Say Takrar Ho Gai
takrar
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
**Wohi Takrar Lafzon Ki Wohi Andeshe Furqat Kay
Wohi Anjan Si Dastak Wohi Har Baat Pe Ranjish
Ranjish
**
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chorr ke jane ke liye aa
dil
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
te/alif
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
lafz batana tha ![]()
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
zeher ![]()
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
bada phir bada hai, mein zehr bhi pi jaon qateel
shart ye hai, koi banhon mein sambhale mujhko
baada
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
yi kia lafz hy bada.9.jam?
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
La Phir Ik Baar Wohi Bada-o-Jaam Aye Saqi!
Hath Ajaye Mujhe Mera Maqam Aye Saqi!
saqi
^ kam b karen sath sath ![]()
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
http://www.sadpoetry.org/wp-content/uploads/2013/06/mirza-ghalib-shayari.jpg
Sheesha