Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
reza
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
reza
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
**na ganvaao naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza ganvaa diyaa
jo bache hain sang samet lo, tan-e-daag daag lutaa diyaa
samet**
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
sakoon
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
*bewafaa likhate haiN wo apanii qalam se mujh ko *
**ye wo qismat kaa likhaa hai jo miTaa bhii na sakooN
qalam**
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
kiyon rakhon mein apnay qalam mein siyahi
jab koi armaan dil mein, machaltaa hi nahin
na janay kyun sabhi shak kartey hain mujhpe
jab sookha Gulab meri kitabon mein milta hi nahi
Shak
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
Judai Ne Teri Barha Di Mohabat Meri
Ab Tu Hi Bta Tuj Se Mil Kar Kia Krna
mohabbat
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
**mohabbat maangatii hai yuun gavaahii apane hone kii
ke jaise tifl-e-saadaa shaam ko ik biij boye
aur shab mein bauraa uthe
zamiin ko khod kar dekhe
ke paudhaa ab kahaan tak hai
Paudaa**
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
**duaa karo ki ye paudaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage
haraa
**
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
**jo shajar suukh gayaa hai vo haraa kaise ho
main payamabar to nahin meraa kahaa kaise ho
Suukh**
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
**Dukh Ne Sukh Ka Saans Liya Hai,,,
Kaash K Wo Phir Yaad Na Aaye... **
saans
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
Saans main teri saans mili toh mujhy saans ayie Mujhe saans aayi, Mujhe saans aayi
Rooh ne chhu li jism ki khushboo tu jo paas aayi Tu jo paas aayi, tu jo paas aayi
![]()
Rooh
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
sharminda meri Rooh ki sachaaiyan hueen
wuh tabsara zameer ne kirdaar par kiya
kirdaar
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
shair nahi mil raha ![]()
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
**Hazaro Aaib Dekhte Hain Hum Dosro Ke Pehlo
Apne Kirdar Mai Hum Log Farishte Hoon Jaise
**Pehlo
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
Wo Milay Ga Tu Us Ki Aankhon Say Poochay ge,
Kis Ko Aabad Kiya Hai Mujhay Barbad Ker Kay...!!!
barbad
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
*Dekha Hai Ujarte Huwe Kitne He Gharon Ko
Hai Kon Jo Is Ishq Mei Barbad Nahi Hai
*
Ujarty
Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014
log kiyon bas k ujarte hain kabhi socha hai
kis liye jaan se guzarte hain kabhi socha hai
kaise palkon ki larazti huwi manderon par
sainkroon deep chamakte hain kabhi socha hai
larazti