Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

sub yahaan dost hee baithey hain kise kya samajhun

**Woh bhee kya din they key har waham yaqin hota tha
aab haqiqat nazar aaye to usey kyaa samajhun **

**dil jo tutaa to kaii haath duaa ko uthe
aise mahaul mein aab kiss koh paraya samajhun **

zulm ye hai kay hai yaqtaa teri beganaravi
lutff yeh hai ke mein ab tuk tujhe apanaa samajhun

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

** zulm ye hai kay hai yaqtaa teri beganaravi
lutff yeh hai ke mein ab tuk tujhe apanaa samajhun**

wahhhhhhhhhhhh:k:

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

nice :k:

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

last shair :lajawab:

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

dil jo tutaa to kaii haath duaa ko uthe
aise mahaul mein aab kiss koh paraya samajhun

wah ehsan bhai :k:

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

ehsan bhai bohat zabardast ghazal hey :k: Thanx for sharing :slight_smile:

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun
sub yahaan dost hee baithey hain kise kya samajhun

dekha jo teer kha kay kameen gaah kee taraf
apnay hee doston say mulaaqat ho gayi

Woh bhee kya din they key har waham yaqin hota tha
aab haqiqat nazar aaye to usey kyaa samajhun

Aye haqeeqat-e-muntazir, nazar aa libaas-e-mijaaz main
kay hazaaron sajday tarrap rahai hain, meri jabeen-e-bay niyaaz main

dil jo tutaa to kaii haath duaa ko uthe
aise mahaul mein aab kiss koh paraya samajhun

kee meray qatal kay baad uss nay jaffaa say tauba
haaye uss zood-e-pasheman ka pasheman hona

zulm ye hai kay hai yaqtaa teri beganaravi
lutff yeh hai ke mein ab tuk tujhe apanaa samajhun

Aye taair-e-laa hooti uss rizq say maut achi
Jiss rizq say aati ho pervaaz main kotaahi

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

bohot khoob ehsan :)

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun
sub yahaan dost hee baithey hain kise kya samajhun

nice sharing ehsan g …qatil ko dhoondhiey.
aur masheeha tu …Main hooN na :blush:

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

array aaray buhat dil pay lag giya aap ko yeh :rolleyes: :fifa: :dhimpak:

Re: Kis ko qatil mein kahun kis ko masihaa samajhun

wah bohat achi sharing hey ehsan jee